do pal ki zindgani

do pal ki zindgani
do pal ki zindgani yahi bit jayegi,
har kali raat ke baad nayi subah aayegi,
agar khas logo ki yaad satayegi to,
kasam se apki yaad sabse pahle aayegi.
  

Jun, 03 2010     155 chars (1 sms)     2652 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Maine Socha Tha Inkaar Kar Dun,
Magar Ikraar Hota Chala Gaya,
Likha Tha Baad Mein Dhoka Khana,
Isliye Mujhe Pyar Hota Chala Gaya
Har nazar ko ek nigah ka haq hain,
har raah ko ek aah ka haq hain.
hum bhi dil le kar aye hain duniya main,
hume bhi ek gunah ka haq hain..
Nazaron Se Nazaaron Ke Jaam Peeta Hoon,
Jab Aaye Mehfil Mein Tera Naam, Peeta Hoon.
Har Din Na Peeta Yahaan Main Yaaron,
Bas Jab-Jab Dhalti Ye Shaam,Peeta Hoon.
Saans Lene Ke Siwa Na Koi Kaam Mujhe,
Bas Jab-Jab Hota Koi Kaam,Peeta Hoon.
Tune Jo Humare Dil Se Ki Hai Itni Bewafai,
To Khud Se Uska Le-Le Inteqam,Peeta Hoon.
Lagataar Na Kabhi Peeta Hai Ghayal,
Har Do Lamha Kar Aaraam,Peeta Hoon.
Bina Tere Ab Kaise Jiyega Ye Ghayal,
So Apni Maut Ka Kar Intezaam, Peeta Hoon...
shafa deta hy zakhmon ko,tumhara marhami lehja...

magar jo dil pe chalte hain,wo khanjar bi tmhare hain...
Phir na ki jiye ga meri gustakh nigahon ka gila,
Dekhiye ap ne phir pyar se dekha mujh ko...
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
Har pal ki dostika irada he apse

Apnapan hi kuch zyada he apse

Na sochenge sirf umar bhar keliye

Kayamat tak sath nibhayenge ye wada he apse
tum per beety gi to tum b jan lo gay,,
,,dost,,
koi nazar andaz kary to kitna dard hota hai...!!
Nazar Khamosh
Zubaan Chup
Sada-e-Dil Marham

Kisi Ka Zikr
Na Nikla Tumhari
Baat k Baad
In Bhete Aansuon Se Aqidat Hai Mujhe B
Teri Tarah Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe B
Tu Agar Nazuk Hai Agar To Mein B Nahi Pathar
Tanhai Mein B Rone KI Aadat Hai Mujhe B
Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya
Dil Bahut Kuch Jalaa Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Ke Bhi Mere Na Huai
Un Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Usay maine hi likha tha


Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!