Kabhi jo maazi main jhankoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kisi lamhe kuch jo sochoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kabhi yun hi akele main
beet-e- dino ko soch ker
Koi geet jo gungunaoge
Tumhain hum yaad aayenge
Sab doston ki mehfil main
Kisi shokh si baat per
zer-e-lab jo muskuraoge
Tumhain hum yaad aayenge
Zindagi ke kisi morr per
Apne Dil ki baat ko
Kisi se keh na paoge
Barishoon ka mosam hai~
Rooh ki fizaon mein~
Ghamzda hawain hain~
Be~sabab udasi hai~
Es ajeeb mosam mein~
Beqrar raton ki~
Beshumar batain hain~
Un gint lamhon main~
Dil mera jalaaty ho~
lutf k b lamhon ko~
Yaad main ganwaaty ho~
Her haseen barish main~
~TUM he yaad atay ho.