Salam_e_mohabbat

Salam_e_mohabbat
Salam_e_mohabbat
Bara khubsurat
Bara dilruba hay
Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay salam
Salam_e_mohabbat

Yeh kiya berukhi hay
aji kuch to bolo
Kaheen yeh khamoshi
Sada ban na jaye
Meri jaan tumari
Yehi beniyazi bilakhir
Peamein wafa ban na jaye
Is inkaar main bhi
Tumari raza hay
  

Jun, 01 2010     321 chars (3 sms)     3514 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai....
Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai...
Bichadh kar us se pereshan mein to hoon....
Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...
ek NAAM kya likha tera SAHIL ke rait py....

phir UMR bhar HAWA sy meri dushmani rahi...!!
Mere Din Raat Mushkil Mein,
Sukoon Ek Pal Nahi Mujh Ko...
.
Mohabbat Taras Kha Mujh Par Mohabbat Chorh Ja Mujh Ko....
ik dil walon ki basti thee,

jahan chand oor suraj rehtay thay,

kuch suraj mann ka pagal tha,

kuch chand bhi shokh chanchal tha,

basti basti phirtay thay,

har pal hanstay rehtay thay,

phir ek din dono rooth gaye,

oor saray sapnay tout gaye,

ab chand b uss waqt aata hai,

suraj jab soo jaata hai,

badal sab se kehte hey suraj uljha sa rehta hai,

chand k sath sitaray hain,

par suraj tanha rehta hai,...........
Woh Mujh Se Mere Ishq Ka Hisaab Maang Raha Hai
Kitna Pagal Hai Mujh Se Zinda Rehne Ki Wajah Maang Raha Hai
Woh Mujh Se Meri Chahat Ka Saboot Maang Raha Hai
Kitna Pagal Hai Mujh Se Mere Wajood Ka Nishaan Maang Raha Hai
Woh Mujh Se Mere Aansuon Ka Saboot Maang RAha Hai
Kitna Pagal Hai Meri Tanhiyan Ka Saboot Maang Raha Hai
Chaha The Jise Jaan Se Zyada
Aaj Woh Hi MUj Se Dushmani Maang Raha Hai
ager kisi se bichrna itna asaan hota to...

jism se rooh ko leney frishtey kabhi na aatey...
MeiN ne Ro Ro K Shab Guzari hai
Apke Haath mein Lakeerain hain
Werna Taqdeer To Hamari Hai
Dil Mera Torte Ho To Lo Toro
Cheeez meri Nahi tumhari Hai
Zindgi ka raaz tanhayi me pa liya,

Jiska gum mila apna bana liya.

Humara gum sunne ko jab koi na mila,

Samne rakha aaina or khud ko suna diya.
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
jhalak
ankho
Ankho Se Door Dil Ke Qareeb Tha..
Mein Us Ka Wo Mera Naseeb Tha..
Na Kabhi Mila Na Juda Hoa..
Rishta Hum Dono Ka Kitna Ajeeb Tha..
Mujhay Likh kar Kahin Mehfooz kar lo Mohsin

Tumhari Baaton say Nikalta Ja raha hoon Main.......!!
tumhare bus main ager ho, to bhool jao hamain
tumhain bhulane main shayad,hamain zamana lage