Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay dekhai yeh zarori to nahi
Khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein
Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka.
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka.
Main Tu Akela Chal Raha Hoon Andheron Main.
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Rosheni Ka.
jhoot ehsas ki qandeel ko bujha deta hai
mujhe INSAN samjh khud ko farishta na bana
apni yaden tu mere dil main rehne de
is mehkte hue gulzar ko sehra na bana