Bhool Sakta Hay Bhala

Bhool Sakta Hay Bhala
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain
  

Jun, 03 2010     547 chars (4 sms)     2544 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

wada na wfa krty wada tou kia hota,
umeed tou band jati taskeen tou ho jati,
Abhi To Mil k Chalna Hai Samandar Ki Musafat Main..



Phir Aagay Chal ke Dhekhenge Kinara Kon Karta Hai...??!!
dilon ki emaraton mein kahein bandagi nahi...!

Eeinton ki masjidon mein "KHUDA" dhoondtay hain log..!
iShq Kii Daastaan Hai Pyaare,
Apani Apani Zubaan Hai Pyaare

Ham Zamaane Se iNtaqaam To Len,
Ek Hasiin Darmiyaan Hai Pyaare

Tu Nahin Main Hun, Main Nahin Tu Hai,
Ab Kuch Aisa Gumaan Hai Pyaare

Rakh Qadam Phunk Phunk Kar Naadaan,
Zarre Zarre Men Jaan Hai Pyaare.
Tairay khayaloo say fursut nahe milte.

Aik pul k liye hamain raahut nahe milti.

Yon to sub kuch hamary pas hay.

bus daikhnay ko aap ki "surut" nahe miltee.
Kitni Ajeeb Thi
Dastan-e-Mohabbat
k
Ek Aankh
... Samandar ..
Aur
Duuji
... Pyaasi ...
Thi
kar kar k MinTain uski



Adat Bigaar di


DanistA hum ne us ko


sitamGar Bana Dia.
Wo Agar MohabbaT K Aik Hee ShaJaR Pe QayiM Ka QayiL HaI To Kia Huwa!

Usse Kehna MaIn Bhi To Shakh Shakh Baserey Nahi KaRTa.~!
Mohabbat Kia Hai Taseer-e-Mohabbat Kis Ko Kehte Hain

Tera Majboor Ker Dena , Mera Majboor Ho Jana . . .
Dil ki choton nme kabhi chain se na rehny dia
Jab chali serd hawa mein ne tujhe yaad kia
Iska rona nahi kyun tumne kia dil berbaad
Iska gham hai bohat der mein berbaad kia
har bicharnay walay ki tarah
us nay bi yahi dua di mujay
sada khush raho muskraty raho
lakin ......
wo kia janay
yadoon kay jaal ma phasnay walay
muskura to saktay hain
khush nahi reh saktay
raabta toot jata he, silsila nahi milta
mujhay dehaan ki galiyon main raasta nahi milta

us kitaaray roshan main ik kami si lagti he
jis pe naam tha tera, wo diya nahi milta