Jab tu Samne hota hai

Jab tu Samne hota hai
Jab tu Samne hota hai
Dil Ajeeb hota hai
Jise mile Tera Pyar wo kab Gareeb hota hai.
  

Jun, 01 2010     87 chars (1 sms)     3624 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Muqaddar Main Likhi Koi Baat Ho Tum

Taqdeer Ki Ek Soghat Ho Tum

Kar K Dosti Tum Se Mehsoos Ye Hua

Jaise Sadiyo’n Se Yunhi Mere Saath Ho Tum
Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga
qurb boyen ge to fasl e judaie de ga
aankh neelam ki jism kaanch ka dil pather ka
apny shaahkar ko kon itni safaie de ga
raat chup hai par chand khamosh hai

kaise keh doon k aaj phir hosh nahi

aisa dooba hoon main tumhari aankhon mey

haath mey jam hai par peene ka hosh nahi
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
kia kahoon tujhay?
dil kahoon to toot jay ga
khuwab kahoon to bikhar jay ga
aa tera naam zindagi rakh doon
maut say pehlay
to tera sath choot na pay ga………;->
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
shayad kabhi arsa-e-ashk shub kat na sake..

tu subha ki hawa hai hum shaam k charagh..
Khoshion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaaj Hai Meri Zindagi,
Hans Laite Hain Dunya Ko Dikhaney K Lye,
Warna Dard Ki Kitab Hai Meri "ZINDAGI"...
Maangu Bas Unhe
Yeh Ibaadat De De
Ai Khuda Tere Khazane Se
Thodi Si Mohabbat De De
Kaaash ! Woh Saath Nibhaye
Hamara Umr Bhar Ka
Ya Phir Unke Dar Par
Marne Ki Ijaazat De De.
Muje tujse juda rkhta hai aur dukh tk nai hota
Mere andar tere jaisa ye akhir kon rehta hai
Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Her shakhs ne mujhko mazaq hi banaya hai

Pahar kehta hun hudko per moom hi sarmaya hai

Dard sene ka ankhon se chalak aya hai

Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Jazbaton se kheyl kar usne mazaq mera uraya hai

Dekha kar asman zameen mein dafnaya hai

Haan gafil hun deen se phal dunya mein paya hai
hichki qareeb hai jo mujhe mout se miaaye.

hun jis ka muntazir use aa jaana chaahiye