choom leti hain latak kar kabhi chahra kabhi lub,

choom leti hain latak kar kabhi chahra kabhi lub,
choom leti hain latak kar kabhi chahra kabhi lub,
.
.
.
tum ne zulfon ko bohat sir pe charha rakha hai..!!
  

May, 27 2010     111 chars (1 sms)     3885 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zara theroo!

Kay tum say ik zaroori baat kehni hay.
Idhar Aa''ao!

Kay rastay main khara hona humain acha nahin lagta.
Yahan Aa''ao!

Kay batain too hameesh hum tasalli say hee kartay hain.

Humain is tarhan mat dekho!

Nahin too hum tumharay samnay kuch keh nah pa''ain gay

Haan too bus baat itni hay......

Chaloo choooro!

Kabhi mooqa mila too phir bata''ain gay.
merey baghair kabhi guzar auqat na karna,
jiss baat pe dil tootey wo baat na karna,
rakhna tamam umer mujhey dil mein basa kar,
chahey apnoon mein shamil meri zaat na karna
bhari bazam mai raaz ki baat keh di......

barha bay-adab hun saza chahta hun......
Yeh aur baat hai ke izhaar ho na saka humse...

Nahi hai tumse mohabbat yeh koun kehta hai...
apney haseen charey ko siyah zulfon main chupa lo..

hum gustakh log hain choom liya krtey hain
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne ..
Suraj kirne bikherta hai aapko dekhkar,
Pool khushbu chodte hai aapko dhekhkar,
Hum apne dil ki kya kahe hazaro dil dhadkte hai apko dekhkar....
Apni aankhon ke samandar mein utar “JANE DE”,
Tera mujrim hon mujhe doob ke mar “JANE DE”,
Aye naye dost mein samjhon ga tujhe bhi apna,
Pehlay maazi ka koi zakham to bhar “JANE DE”,
Aag Duniya ki lagai bujh jae gi,
Koi aansoo mere daman pe bikhar “JANE DE”,
Zakham kitnay teri chahat se mile han mujh ko,
Sochta ho ke kahon tujh se magar “JANE DE”
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
Kar baitha hai dil yaa muhabbat tumse,utni jitni kabhee kisi say nahi ki Jo mujhe tumhara dil kal ko todna pada to, mujhe bewafa na samjhna Baandh ke rakha hai mujhe aaj is duniya aur unke sanskaaron ne tumhare saath baandha daaman khol dun, tu mujhe bewafaa na samjhna In nazron main muhabbat tumhara liya hai, ur hamasha tumhare liya hi rahegi Par ager kal ko tum say nazrein na mila paun, tu mujhe bewafaa na samjhna Dil hi dil main karti ayi hon aik arse say main ibadat sirf tumhari Kal ko kise aur ka hath thamna pade, tu mujhe bewafaa n
Likh Raha Hoon Main Un Khatto''n K Jawab

Jo k tum Ne Kabhi Likhe Hii Nahi

Un Jawabo''n Main In Ko Rakh Dena

Jo K Tum Ne Kabhi Parhe Hii Nahi
Aaj ke daur mein aey dost ye manzar kyuN hai
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuN hai

jab haqeeqat hai ke har zarrey mein tu rehta hai
phir zameeN par kahin masjid kahin maNdir kyuN hai

apna aNjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mein har insaan sikaNdar kyuN hai

zindagi jeeney ke qaabil hii nahii ab "Rahi"
warnaa har aaNkh mein ashkon kaa samaNdar kyuN hai