usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.

usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
mujh ko paaband-e-zanjeer kua or chor daya.
us ne aanchal se nakali meri ghum gasta kitaab.
or chupke se mhubat ka waraq mor daya.
  

Jun, 01 2010     173 chars (2 sms)     2642 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tujhy mohabt krna nahi aata...

mujhy muhabt k siwa kuch nahi aata..
Na ghamon k geet suna karo,

Na kisi ki yaad mein jala karo,

Ab chor do ye udasian,

khush khush raha karo,

Khuda na karay kisi ko juda,


Haath uthao to ye Dua kia karo,

Nahi bhata Tera udas chehra,

Na preshan hua karo,

suna hy k mantay ho Hamein apna dost,

Hamari khatir hi hanstay raha karo
Arz-e-Matlab Ka
Adhura Silsila Rehny Dia

Dastan Keh Di
Bayan-e-Mud''da Rehny Dia

Sirf Itna Yaad Hy Dastak
Hui Thi Ek Bar

Zindagi bhar Dil Ka
Darwaza Khula Rehny Dia
ik shakhs kar raha hai abhee tak vafa ka zikr faraz.
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koee...
bay sabab tu nahe tairee yadain ......
bay sabab tu nahe tairee yadain
tairee yadon say kya nahe seekha
zabt ka hosla barha laina
ansoaon ko khain chopa laina
kanptee doltee sadaon ko
chop kee chader say dhanp ker rakhna
bay sabab bhe kubhe kubhe hasna
jub bhe ho baat koi talkhee kee
mozo-a-gotagoo badal daina
bay sabab tu nahe tairee yadain
tairee yadon say kya nahe seekha
Osay kabhi na kabhi to bicher hi jana tha
Ye haadsa bhi meri zindagi main aana tha
Wo aik shaks mujhey sari umer tarsay ga
Naseeb us k......k us ne mujhy gawana tha
mAin Bhala kAisAy usAy aik ajnAbi keh Doon


jis ne DekhA thA Palat kr IshAroon ki Tarah
Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do...
be chainiyan simat kar sare jahan ki



jub kuch na ban saka tu maira dil bana diya
khwab marte nahin
khwab dil hain na aankhen nasanse ki jo
reza-reza huai to bikhar jayenge
jism ki maot se ye bhi mar jayenge
khwab marte nahin
Ab Kya Likhain Kaghaz Pr?

Ab Likhne Ko Kya Baqi Hai!

Ek Dil Tha Wo Tot Gya

Ab Totne Ko Kya Baqi Hai?

Ek Shakhs Ko Hm Ne Chaha Tha

Ek Rait Pe Naqsh Banaya Tha

Wo Rait To Kb Ki Bikhr Gae

Wo Naqsh Kahan Ab Baqi Hai?

Hm Jinko Apni Nzmo Ka

Unwan Banaya Krte The

Lafzo Ka Bana K Taj Mehal

Kaghaz Pr Sajaya Krte The

Wo Hm Ko Akela Chor Gaya

Sub Rishto Se Mun Mor Gya!

Ab Raaste Sare Soone Hain

Wo Pyar Kahan Ab Baqi Hai?

Ab Kya Likhain Hm Kaghaz Per?
Ab likhne ko kia baqi hai...!
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum Chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........