Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
Tanha Rehna Seekh raha hon Mer k jeena seekh raha hon
Maang k pana seekh lia hai Paa k khona seekh raha hon
Saber ko Zaad-e-Rah bana ker kanch pe chalna seekh raha hon
Jeeny k hain ajab taqazay zinda rehna seekh raha hon
Madhosi ne bohat sataya Hosh mein rehna seekh raha hon
Ishq kar deta hai bekrar, bhar deta hai pathar k dil mein pyaar, har 1
ko nahi milti zindagi ki ye bahar, kyunki ishq ka dusra naam hai
intezar..... ....
MIAN NY JANA HAI KY
MUHABBAT MAUSSAM NAHEE
APNI MUDDAT PORI KAREY
AUR RUKHSAT HO JAYE
MUHABBAT SAWAN NAHEE
TOOT KY BARSEY
MUHABBAT AAG NAHEE
SULGY BHARKEY
AUR BUJH JAYE
MUHABBAT AAFTAB NAHEE
UBHREY CHAMKY
AUR DHAL JAYE
MUHABBAT TOU CHAND KI MANIND HAI
JO BARHTA HAI
GHAT''TA HAI
NIKLTA HAI
CHUPTA HAI
MAGAR..
KABHI FANNA NAHEE HOTA!
Bina khwabon ke bhi koi so paaya hai....
Bina yaadon ke bhi koi kho paaya hai.....
Dosti aap ki dhadkan hai iss dil ki.......
Dil bhi kabhi dhadkan se juda ho paaya hai kya...
Hasti ko muhbat main fana kon karega
Yeh farz mare siwa ada kon kare ga
Hatho ki lakiro ko zara ghor se dakh aa najomi
Yeh dakh ke mare sath wafa kon kare ga