Takra hi gai meri nazar

Takra hi gai meri nazar
Takra hi gai meri nazar un ki nazar se
Dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se

Izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
Aisa na ho gir ja un kahin un ki nazar se

Ai zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
Jana hai kahan aur ham aye hain kidhar se

''Fayyaz'' ab aya hai junun josh pe apna
hansta hai zamana main guzarta hun jidhar se,,
  

Jun, 03 2010     347 chars (3 sms)     3434 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sawab Jaan K Wo Dil Ko Paash Paash Karty Rahy...

Kabi Na Toka Unhain Jaan Kar Gunah, Hum Ne...\
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.
Aksar pyar karne wale apne pyar ki tarif karte hain,
taki woh unse juda na ho jaye,
hum isliye khamosh rehate hain,
taki un pe koi aur fida na ho jaye..!!
Pathar Ki Hai Duniya Jazbaat Nahi Samajti,
Dil Main Kya Hai Wo Baat Nahi Samajti,
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaro Ke Beech,
Par Chand Ka Dard Bewafa Raat Nahi Samjti….!!!!
kisi ney pooch liya agar udaasiyon ka sabab....

to moasamon ka gila ker k taal dain gey hum...
meri zindagi main faqat..

do he kaam, na mumkin rahy"wasi"

tujhy paa lene ki tamana.

ya phir?

tujhe bhool jane ki khawaish....
hai payaar unko hum se itna tu yaqeen hai hume.
wo inkaar bhi karte hain tu ankhain saath nahi dati.
Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Muhabbat Mar Chuki Ab To, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Tumako Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
Zindagii Dhuup Tum Ghanaa Saayaa

Aaj Phir Dil Mai Ek Tamannaa Kii
Aaj Phir Dil Ko Hamane Samajhaayaa

Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Hamane Kyaa Khoyaa, Hamane Kyaa Paayaa

Ham Jise Gunagunaa Nahiin Sakate
Vaqt Ne Aisaa Giit Kyuun Gaayaa... :(
Thay Bohat Be-dard Lamhe Khatam-e-Dard-e-Ishq K

Thii''n Bohat Be-mehar Subhai''n Meherbaan Raato''n K Baad
Apni khushiyan luta kar tujh pe kurban ho jaon,

kash kuch din tery shehr main mehman ho jaon,

Tu apna nayab DIL mujh ko de day aur phir mangay,

Main mukar jaon aur bey-imaan ho jaon,

Tu mujh pe sitam karay har kisi ki tarha,

Main teri is ada par b meharban ho jaon,

Tu mery paon k nichay se zameen

kheench layaur main tera aasman ho jaon

Tu mujhse door door bhagti phiray,

Khuda koi mujzaa karey aur main tera NAAM ho jaon...
Marna tu is jahan mein koi hadsaa nahi

Is doar-e-nagawar mein jeena kamal hai... ;->