Ta''aluq Baad Main

Ta''aluq Baad Main
Ta''aluq Baad Main
Tabdeel Ho Kr Jo Bhi
Reh Jaaye

Mohabbat Main Wo
Pehla Muskurana
Yaad Rehta Hy !!!
  

Jun, 01 2010     108 chars (1 sms)     2958 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Dil Diya ye mere pyaar ki haad thi,
Jaan di ye mere aitbaar ki haad thi,
Mar kar bhi reh gayee khuli aankhen
unke liye ye mere intzar ki haad thi.
meri gurbat ne uraya hay mere fun ka mazaq.

teri dolat ne tere aeb chupa rakhay hain...
Chup chup sa rahta tha dil mera...
Darkhn hui tu use bi pyar hua...
Kabhi aanso, kabi khushbo,kabhi naghma bun kar
hum se har sham mili hai tera chehra bun kar

meri jaagi howi raato ko usi ki hai talash
so raha hai meri ankho mein jo sapna bun kar

raat b aye to bhujti nai chehray ki chamak
rooh mein phail gaya hai wo ujala bun kar

Dhoop mein kho gaya wo hath chura kar
ghar se jo saath chala tha mera saya bun kar.../
Kabhi aansoo kabhi Khushi dekhi
humne majboori aur bekasi dekhi

Chand lamhaat jeene ke liye
bechke apni zindagi dekhi

Andhere agar ghir aaye ho
tere pehloo mai raushni dekhi

Teri naraazgi ko kya samjhein
humne khud apni bebasi dekhi
guzarta hoa saal jesy bhi guzra
magar saal k akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi janazon ki lambi qitarain
kahan tak koi dekh paey?

hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,asar e hazir ka maseeha kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___
hum pasand to sub ko the
dost
per sirf zarorat ki tarah
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki
Dost naa sahi, unke dushmano me hee mera naam de…


Wafaye yaad naa rahe meri to wo bewafa ka hee ilzaam de...


Udhar yaad karne kaa bhee waqt nahi, idhar waqt ke siva kuch nahi..


Mai bhee masroof rahu ae khuda mujhe bhee kuch aisa kaam de….
abi justaju me hoon uski,to ehsas nahi us ko.

ro ro k pukary ga humein zara mar to jany do,,,,!
mahfil na sahi tanhai tu milti hai
milan na sahi judai tu milti hai
kon kahta hai muhabbat mian kuch nahi milta
wafa nahi sahi bewafai tu milti hai