Woh admi hai aam sa
Ik qisa na tamam sa
Na lehja bemisal hai
Na baat mein kamal hai
Hai dekhnay mein aam sa
Udasion ki sham sa
Jaisay ik raaz hai
Khu say beniaz hai
Na mehjabinon say rabata hai
Na shurton ka khab hai
Ranjha na qias hai
Insha na faiz hai
Woh pekar e ishlas hai
Wafa dua aura as hai
Tumhi karo faisala
Woh
Aadmi hai aam say a phir bhohat hai khas hai?
Marnay k bad meri ye kahani likhna Kese hui Barbad meri ye Jawani likhna Ye likhna usay Intizar bahot tha kisi ka Aakhri saans ki kesay hui Rawani likhna Jo Qasmain khai thi us ne Piyar me Un Qasmon ki kya hui us per Mehrbani likhna
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha
MERI zindagi se wo is tarha khailta raha
Na utra kabi meri zindagi ki jhel mai
BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.