Tum Pe Khatam Sari Chahat

Tum Pe Khatam Sari Chahat
Tum Pe Khatam Sari Chahat Ho Gi ..

Phir Na Kisi Pe Ye Inayat Ho Gi

Kuch Is Tarah Se Karein ge Yaad tum Ko

Na Tum ko Shikwa Hoga Na Zamanay Ko Shikayat Ho Gi
  

Jun, 04 2010     166 chars (2 sms)     3072 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apne dil ki sun afwahon se kaam na le

Mujhe yad rakh beshak naam na le

Tera veham hai k hum bhool gaye tujhe

Meri koi aisi saans nai jo tera naam na le
Rok detey hein shariat k takazey warna
Mei tera ziqer sab se afzal kar don.
Mat baha ansu bey qadro k liye FARAZ,,,,

Ju qadar krtey hain kabi roney nahi detey.
Samajhte hai wo ke patthar hai hum,
Unn ko thokar maar jaayeinge,
Wo ek baar keh de nafrat hai hum se,
Apni chahat ki kasam phool ban kar bhi raah nahi aayeinge.
Marne K Baad Bhi Na Chora Jalaana .....

FARAZZ

Roz Pehenk Jati Thi Phool Sath Wali Kabar Par
meri zindagi main faqat..

do he kaam, na mumkin rahy"wasi"

tujhy paa lene ki tamana.

ya phir?

tujhe bhool jane ki khawaish....
Mujhy Itna Na Chaho k
Main Khud Ko Tum
Samajh Betho''n

Mujhy Ehsaas Rehny
Do Meri Apni Bhi Hasti
Hy ... !!!
gul''on ko bhi nahi aaya abhi tak is tarah khilna,

sawery jis tarah wo neend sy be''daar hota hai...
Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain
wo jis ka naam tha sanson mein
aur honton par....
wo por por mein kuch iss tarha otarta gaya
har ek gosha dil khud bakhud mehakta gaya
hina se naam hathelee pe bhi likha os ka
wo aik shaks mujhe aaj iss tarha se mila
ke os ke chehre pe dekhi hain ajnabi ankhen
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
aaj hum bevde nahi to kya..........
pehle hum bhi mehkhano mein raha karte they.........
aaj sungte hi chad jati hein to kya............
1 zamaane mein pani ki taraha piya karte they........
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
Dil ne jab bhii fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai


Yeh bhii khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein jo khoya paaya hai


Tum numaaish liye ho daagon kii
Hamne zakhmon ko bhii chuppaayaa hai


Koii marta nahin kisi ke liye
Hamne duniya ko aazmaayaa hai


Waqt-e-hizraan ya vasl ho ''barham''
Hamne dono mein tujhko paaya hai.../