Hamain jab Al-wida

Hamain jab Al-wida
Hamain jab Al-wida kehnay lago tow muskra daina..
Sitara sath ker daina..
K rastay mein andhairay bhi tow aein gay..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina..
Hamain zaad-e-safar ko tumhari yaad ki sogaat kafi hai..
Tumharay sath mein guzra howa pal bhi ghaanimat hai..
kabhi tehray jo rastay mein..
Sunehari yaad ki surat tumhain ham-rah paein gay..
Tow ham tanha kahan hoon gay..
Magar phir bhi..
Hamain jab al-wida kehnay lago tow muskura daina..
Sitara sath ker daina..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina.. !
  

Jun, 04 2010     534 chars (4 sms)     2766 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

jo laya karta tha hum se har ek mashwara.

mujh se laye baghir aaj wo nata kase tord gaya.
Kabhi aa ker mujhse mil, mera haal mujhse poch...

Ghairon ke kehne pe youn badguman na ho...
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
Tarap k dekho kisi ki chahat mein

To pata chale k intezar kya hota hai

yun he mil jaye koi bina chahe

to kaise pata chale k PYAAR kya hota hai
kisi k u bicharnay say
kisi k yaad anay say
buhat say loog rotay hain
k rona aik rewayat hai
rewayat toor jata hon
tumhari yaad anay per
main aksar muskarata hon
Aay to yun k jasy samandr se the ''Mahrban''

Bhulay to yun k go''yaa kabhi Aashna na the!
Kitni mohbhat hai tumse humse bataya na gaya,

shyad tum samaj n sake ya humi se samjaya n gaya.

Tumne karib aane ki koshish na ki

aur humse haath badhaya na gaya.
Dilo me aarzu ke diye jalate rahenge,
Aankhon se aansu nikalte rahenge.
Tum shama bankar dil me roshni to karo,
Hum mom bankar uhee pighalte rahenge....
Kya hua jo tumhara saath nahi
Mere hathon main tumhara haath nahi




Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat main zaroori mulaqat nahi




Main sari umar tarsa hon chahat ke liye
Mere naseeb me shayad ye soghat nahi




Iss andaaz se bikhar kar phir simat na saka
Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi


Jis ki DOSTI peh naz thaa, wo DOST bhi gaya
Kis qarb se kaha us ne koi baat nahi
kya tareef karu aapki, Jeet
Aap shabdon mein kahan sama paoge

Bas itna jaanlo ke jab bi baat chalegi Dosti ki
Meri aankhon mein aap hi nazar aaoge.
Hum nazroon sy dor hain ankhon sy nahi.hum khabon sy dor hain khyalon sy nahi.hum dil sy dor hain dharknon sy nahi.hum ap sy dor hain ap ke yadon sy ni.
Sharaab pene do masjid main baith kar,
Ya wo jaga bata jaha par khuda nahe..
(Ghalib),

Masjid khuda ka ghar hai pene ki jaga nahe,
Kafer k dil main ja waha pr khuda nahe..
(Iqbal) ;->