Husool-a-Deed se mashroot

Husool-a-Deed se mashroot
Husool-a-Deed se mashroot kb hai Jazba-a-Dil,

Mujhay to Pyar Teray Naam pr b aata hai,

Main Hijr-o-Wasl ki Haad se Guzar Gaya Shayed,

Tu Samnay B nahi or Nazar B aata hai..
  

Jun, 01 2010     182 chars (2 sms)     3192 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mana k mera katil bhi wohi tha.
saray shehr mai tarif k kabil bhi wohi tha.
kehta tha apna hoon apno mai rahuga
bani jo saf e ghair to sab se aage bhi wohi tha.
Tujhe Kaise Bhulata Main?

Tujhe Main Bhool To Jata

Magr Tere Ta''aluq Se

Jo Chahre Samne Aaye

Jo Raste Samne Aaye

Jo Lamhe Samne Aaye

Jo Rishte Samne Aaye

Unhain Kaise Bhulata Main?

Tujhe Kaise Bhulata Main?
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,

Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,

Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey,
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,

Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,

Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai... )
Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Gazal Ki Palkain Sawaar Lon.

Mera Lafz Lafz Ho Ayina Tujhy Ayine Main Utaar Lon.
mujhse ki musaafir ne raastay mein sargoshi

kabse dhoondta hon mein, aur khuda nahi milta
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.
wafa nibhany ki
jo Qeemat
mujy ada karna pari hai
us sy mujy
aisa lagta hai
jasy
mera wajooooooooood
kisi haqeer tinky ki tarah
ider uder
hawa ma
bikhar raha hai………!

Dil Diya ye mere pyaar ki haad thi,
Jaan di ye mere aitbaar ki haad thi,
Mar kar bhi reh gayee khuli aankhen
unke liye ye mere intzar ki haad thi.
Kahin miley to usay yeh kehna

K tanha savan bita chouka hoon
Main sare armaan jala chooka hoon
Jo sholey bherkey they khavahishon k
Wo ansoo‘oun se bhujha chouka hoon
hum un say millay to khuch keh na sakay.faraz.
khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar ga
tum kis wafa ki baat karte ho yahan per sagar

ye log tu jaan le ker bhi dil nikal laya karte hain.
(A)Jis k naam per tarapta tha main
(S)Ab us k naam per tarap jata hon main
(C)Jis ko har pal bolata tha main

(ASC)ab us ko har pal bhol jata hon main