mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.

mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
dakhain pahle kon ata hai donon ka intzaar hai.
  

Jun, 01 2010     93 chars (1 sms)     2893 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

udaas tujhe dekhne se pehle
ye aankhein na rahe

khafa ho tum mujhse
tho ye saanse na rahe

agar gham he di tujhe
to teri zindagi main hum kya
hamari yaadein bhi na rahein
Waqt ko bass tumhare saath bitana acha lagta hai,

Tumhi se baat karna muskurana acha lagta hai,

Tumhare aansu b pyaare tumhari muskurahat b,

Tumhi se roothna tum ko manana acha lagta hai,

Tumhari khushyaan mujhe Ae dost hein apni jaan se pyaari,

Tumhare waste har gham uthana acha lagta ha
Apni Ankhon k Samundar Me Utar JaneDe

Tera Mujrim Hu Mujhe Doob k Mar JaneDe

Wada Hai Tum Yaad Kiya Karoge Mujhe

Mujse B zyada Bas 1 Bar Tujhpar Fanaa Ho JaneDe
Phir itne mayous q ho us ki bewafai per,

Tum khud hi to kehtay the k wo sab se juda hai.
mEra tA''jub ajab To Nahi

w0 shakhs pehlay sA Ab to nhi

wafa ka kiya Gilla karon main us sE
W0 mera kab tha, jo ab Nhi
ek chhoti si nazar wo mujhpay bhi daal day,

ay rab e zuljallal usay itna khiyaal day,

itna bhi kia arooj k wo mill hi na sakay,

wo ho sakay mera usay itna zawal day.
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Dilse teri yad ko juda to nahi kia

Rakha jo tujhe yad bura to nahi kia

Hum se log hain naraz kis liye

Hum ne kabhi kisi ko khafa to nahi kia.....
ye bhi aadaab-e-muhabbat hain tumhein kiya maaloom
hum tumhein jeet ke haaray hain tumhein kiya maaloom
aik tum ho kay samajhtay he nahi hum ko kabhii
aik hum hain ke tumharay hain tumhein kiya maaloom...
ajnabi say rahon ka ajnabi musafir aik...

mujh say pooch betha hai rasta bata do gay?

ajnabi si rahon ka ajnabi musafir sun...

rasta koi bi ho wasta koi bi ho manzelain nahi milti...

manzelain toa dhoka hain manzelain gar mil jaen....

toa justajo nahi rahti zindagi ko jenay ki arzoo nahi rahti........;
Meri Ankhon pe marta hai
meri baaton par hansta hai
najane shaks hai kaisa?
mujhe khone se darta hai
woh jab bhi baat karta hai
yahi har baar kehta hai
Agar main bhool jaoon to?
Agar main rooth jaoon to?
Kabhi wapis na aaoon to?
bhula paoge yeh sab kuch..
yunhi hanste rahoge kia?
Yunhi sajte rahoge kia?
Yahi baatain hain bas uski
yahi yaadian hain bas uski
mujhe maloom hai itna
Mujhe woh pyar karta hai
MUJHE KHONE SE DARTA HAI...
zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz,

Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...