Main ab khayalon main teri tasweer banaoon magar kaise
Tu hi bata haal-e- Dil tujhe sunaon magar kaise,
Jo mahel banaye the khuwabon main humne
In mahlon main Wafa ke deep jalaoon magar kaise
Yahan apni apni bari per sab hanste hian..Sab rote hain..dil to sab ka hota hai,aur dukh bhi sab k hote hain.kuch ashq dilon per girtey hain,kuch matti main mil jatay hain.kuch lafz adaa ho jatay hain ,kuch honton main sil jatey hain..Mana k adhooray rehtay hain par khawab to sab k hotay hain.
Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski
mujy teri judai ne yahi meraj bakhshi hy k main jo lafz likhta hoon wo saary lafz roty hain k main jo harf bun'ta hoon ...wo saary bain karty hain mery sang is judai main mery alfaz marty hain sabhi tareef karty hain meri tehreer ki lekan kabhi koi nahi sunta maery alfaaz ki siski falak b jo hila daaly mery lafzon main hy shamil usi taseer k aansu kabhi dekho mery hamdam MERI TEHREER K AANSU