kashhhh khushion ki

kashhhh khushion ki
kashhhh khushion ki koi dukan hoti ..

humain bhi us ki pachan hoti...

bhar dete aap ka daman khushion se

keemat chaye us ki hamari jaan hoti....;->
  

Jun, 03 2010     160 chars (1 sms)     2965 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hum ko gali mein dekh kar khud ko chupa lia jany yeh dushmano nay usay kya sikha diya ghar us nay kya banaya masjid k samnay chahat nay uski humko namazi bana diya
tamam umar wohi qissa-e-safar kehna!
ky asaka na humy apny ghar ko ghar kehna

jo din ho toh tairy wisl ki dua kerna
jo raat ho toh dua he ko beyasar kehna

ye keh k doob gaya aaj aakhri soraj
ky hosaky toh isi shab ko ab seher kehna

wo shaqs mujh sy bohat badguman sa rehta hai
ye baat uss sy kaho bhi toh soch ker kehna

kabhi wo chand jo pochy k sheher kaisa hai?
bujhy bujhy hoye lagty hain baam-o-darr kehna

wo aik main ky maira sheher bhar ko apny siwa
tairi wafa ky taqazon sy beykhabar kehna

wo aik tu ky taira her kisi ko mairy begher
mammlat-e-muhabbat mein muat''aabar kehna

wafa ki tarz hai Muhsin ky misslehat kiya hai
ye taira dushman-e-janna ko bhi charrah''gar kehna
ek waqat hi tha jo raha humsafar mera humesha.

haye tujhe tu teri hi adaon ne nar dala..
Umar Se Insan Badal Jate He

Waqt Se Tufan Badal Jate He

Sochte Hai Aapko Itna Yaad Na Kare

Lekin
Aankh Band Karte Hi
Armaan Badal Jate He
andhari rahoon k is safar mai
k jis k unwan hai zindagi
bohut se doshwar marhalain hain
Ghamoon k tareek silsilay han
Dukhoon se chalne har khoshi hai
bohut he mushkill hai humdam kuch aesay rastoon par tanha chalna
magar jo mujha ko cala rahi hai
tumhari yadoon ki roshni hai
Yaad mein doobney se achcha hai
kay ,chor kar us yaad k samandar ko
koi aisa jazeera dhond lo
kay
jahan sakoon ho, bohat sakoon ho
magar
hum jaise logon ko to
doobna achcha lagta hai
to phir
doobey raho us ki yaad mein
jo k hum ko
kab ka bhool chuka hai
kiya waqa''ie
WO BHOOL CHUKA HO GA
koi sham ati hai teri yad le kar

koi sham jati hai teri yad de kar

mujhe intizar hai us sham ka

jo aey tujhe sath le kar

Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
kahan kahan na chiri daastan-e-jurm-e-wafa
hamaray eshq ka charcha kahan kahan na hua
Kaash wado ka matlab woh samajte,

kaash khamoshi ka matlab woh samjhte,

nazar milti hai nazar se,

kaaaash meri nazron ka matlab woh samajte.....;->
Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sare aam pukara nahi jaata,
Hoti he dosti me kuchh raaz ki baaten,
Yuhin to iss khel me dil haara nahi jaata!
Kissi ko mohabbat ki sachai mar dalegi,
Kissi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi,
Kar ke mohabbat koi nahi bachega,
Aur jo bachega use tanhai mar dalegi.