Hum to tanhayon se

Hum to tanhayon se
Hum to tanhayon se tang akar dost banane nikle the FARAZ…

Dost bhi aise mile k aur tanha kargay
  

Dec, 10 2014     96 chars (1 sms)     6417 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hum gam ko chupa ke muskurate gaye.
wo had se zyada humko satate gaye.
Meri aankho ki ghata barasti rahi,
wo sawan samajh kar nahate gaye.
AjeeB tarah ki judai hai yeh key main is baar

sakooN main hooN buhat Be-qarar ho kar bhe. . . . .!
kuch nhi chahiye ik muskan hi kafi hai..

Tum dil me basy Raho ye arman hi kafi hai..



Hum ye nhi kehty hamaray pas ajao

Bas hamin yad rakhna ye ehsan hi kafi hai..
ay dil TANHAIYON MEIN mein rehny ka AADI hoja...

jinhain tu YAAD karta hai wo bary MASROOF rehty hain...
chupke se bheja tha aik gulab use magar..

kushbu ne shehar bahr me tamasha bana dala...
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,

Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,

Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
Mujhay Hee Kyun Us Kii Prastish Say Roktay Hoo



Us Ko Bhii Too Kahoo Kay Woo Dewtaa Na Lagay
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi
Khamoshi Jurm Hai Agar Muunh Mein Zubaan Ho
Kuch Na Kehna Bhi Hai Zaalim Ki Himayat Karna... !!

Dil Mein Teri Yaad Ke Nistar Uter Gaye
Kitne Sitare Aankhon Se Toot Ker Bikher Gaye
Aajo K Taras Giyn Meri Nighain
Dekha Nahi Tumhain Ke Bohat Din Guzer Gaye
Meri Jaan Apna Khiyal Rakhna
Bhola Na Dena Itna Khiyal Rakhna

Mein Door Hon Tum Kis Haal Mein Ho
Bas Itna Khiyal Rkhna

Tere Dum Say Rawan Hein Meri Sasen
Bas Itna Khiyal Rkhna

Mere Paas Apna Kuch Nahi
Sawa Teri Yaad K
Bas Itna Khiyal Rkhna

Keh Meri Jaan Tum
Apna Khaas Khiyal Rkhna
Wo jo Dawedaar hY Shaher main,

k sabhee ka Nabz shanaas Hon,


kabhee Aa k mujh saY To poochta


k


main kis k Gham main UDAAS Hon.