Meri Sari yadain aur Arman bas Aap ho,
Main to Jana kuch nahi Pehchan bas Aap ho,
Ge sakta hi nahi jis ke bin tera Amad,
Dil ki dharkan aur meri Jaan bas Aap ho.
Hum Se Maiyat Par Teri Aaya Na Gaya
Kaliyon Ka Haar Tumhari Kabr Par Bichaya Na Gaya
Hum Toh Khud Tumhari Kabr Ke Sath The
Isliye Hum Se Apna Chehra Tumhe Dikhaya Na Gaya
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay