Dard Uthtay hain magar Aah nahi karty,
Kon kahta hai Hum Wafa nahi karty,
Aakhir kyun nahi Badalti Taqdeer Hamari,
Kya Aap bhi Hamary Haq me Dua nahi krte.
Aao kay ashk tamte nhi teri yaad mein,
Din dhalta nhi tere intezaar mein,
Aao kuch esa kar jao kay laboon pe muskaan aaye,
Our jee leen hum jaanum ek our janam tere pyaar mein...
janay kis liay pal main,
log bhool jatay hain!!
zindagi ki yadoon ko,
bay shumar wadoon ko,
khushguwaar batoon ko,
sath guzri shamoon ko,
an ginat iradoon ko,
Janay kis tarah pal main
log bhool jatay hain!!
pyar ki haqeeqat ko,
umar bhar ki chahat ko,
rishtoon ki nazakat ko,
jazaboon ki sadaat ko,
lams ki hararat ko,
dil sye dil ki rahat ko,
KAISAY BHOOL JATAY HAIN?
KAISAY BHOOL JATAY HAIN??