Chahay Koi B Na De Humain Khush

Chahay Koi B Na De Humain Khush
Chahay Koi B Na De Humain Khush Rehny Ki Dua.

"A_Dost"

Wese Bhi Hum Khushiyan Rakhty Nahi Baant dia Karty hain.
  

Oct, 23 2013     115 chars (1 sms)     2797 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

parindon ne kabhi firqaa parasti to nahi dekhi.

"SAGAR"

Kabhi mandar pe ja bethay kabi masjid pe ja bethay.
Masroof Hain Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
WO Karain Humse Baat Unhain Waqt Kahan Hai
Wo Ponchain Meri Aankh Se Behte Hue Aansu
Ae Ronaq-E-Bersaat Unhain Waqt Kahan Ha
Mera din chupa kisi raat may

meri raat chupi kisi zaat may.

meri zindgi kisi raaz may

koi raaz hai meri zaat may.

may jahan kaheen bhatak gia

may girta girta sanbhal gia.

mujhy thokroun se pata chala

koi haath hai mery haath may.
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
meri nazmain, meri duniya
zindgi jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri

meray misray aankhon jaise
gheray gheray
meri nazmain zulfoon jaise
uljhi uljhi, bikhri bikhri

meri muhabat meray jaise
pakiza si , nikhri nikhri
teri muhabat teray jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri
Baatein aisi karo ke jazbaat kabhi kam na ho;
Khayalat aise rakho ke kabhi ghum na ho;
Dil me apni bas itni se jagah dena hume;
Ke khali-khali sa lage jab hum na ho
Dil Ki Masoom Ragai''n Toot''ti Hain

Yaad Itna Bhi Na Aaye Koi
tum dukhon ke soz ka
mosamon ke rog ka
dard mat saha karo
udas mat huwa karo
yeh dard hain hayat ke
kuch rung kainat ke
kuch dukh ki tez barishen
kuch phool hein nishat ke
tum phool bus chuna karo
khaar mat chua karo
UDAS MAT HUWA KARO
Sir Jhukao ge To Pathar bhi Devta ho Jaye Ga
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho jaye Ga

Hum bhi Darya Hain humain bhi Apna hunar Maluum hai
Jis Taraf Bhi Chal Parain, Rasta Ho Jaye Ga

Kitni Sachai Se Zindagi Ne Keh Dia
Tu nahi Mera To Koi Aur Ho Jaye Ga

Rooth Jana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kia Khabar Thi Mujh se Wo Itna Khafa Ho Jaye Ga
Saffar kitna bhe ho musaafir ko To chalna hee hai
Wo Sangdil kitna bhe ho humain Zulm to Sehna hee hai
Raat Phir Mujh Sy Rahi
Neend Khafa Der Tak

Yaad Tum Aate Rahe
Be-intiha Der Tak

Dhast-e-Tanhai Me
Ashko''n Ka Sahara Ly Kr

Mene Maangi Tere
Milne Ki Dua Der Tak
majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka