Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai
Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai
Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain
"intezaar"
Hum jinka "muntazar" karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka "muntazar" hum karte nahi hain
"intezaar"
log kehtey hein kabhi pyar na karna, kar lo to phir izhar na karna, aur agar izhar b kar lo agar tum, to uss sey kabhi takrar na karna,tum khud hee ho mamar(mason)apni subho sham k, iss liye kabhi kissi ka intizar na karna
wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta,
magar main zahmat-e-feraad bhi nahinkrta,
kabhi kabhi wo itna yad aata hay"faraz''
main zid main aa kr use yad bhi nahin kr
tere siva nahi jachta koi nigahoon mai
jo to kahe to bikhar jaaon teri raahon mai
nazar kaneez teri dil ghulaam hai tera
likha hua mere chehre pe naam hai tera.,
Poocha rooh nikalti hai jism sy kis tarah?Hath us ny hatoon sy chura kr dikha diyapoocha mehshar sy pehlay qayamat hai kiya??Nakab usny ruh sy utha kr dikha diyaPoocha k yeh her taraf khizan c kyoun hai???Mehfil sy khud ko utha kr dikha diyaPoocha ek diya jo hawa sy na bujh saka??Diya us ny wafa ka jala kr dikha diyaPoocha k aakhir yeh hassad hai kiya cheez??Us ny kisi aur ko apna bana k dikha diya...!
Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!