Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Apne Aap Mein Simte Rehna Acha Lagta Hai
Chup Chaap Kuch na Kehna Acha Lagta Hai
Ham Nahi Kabil Teri Chahat K
Phir B Teri Chahat Mein Rehna Acha Lagta Hai
Kaho tum tu ooper ooper se hi mil lete hein
Dosti aur pyar ko thora aur barha lete hein
Bas karo aik wahda Bass tum nah karo gey
Pyar kia hai tu judai meri ka samna karo gey
Aisi jagi na phir DIl main tamana koi....
Aapse bechdey to phir khuwab na dekha koi
Hain Bohut log jinhe PYaR kia jaye...lekin
Dil jisay TOoT k chahay .....nahi aisa koi
kabhi zid kr k aur kabhi khana na khany ki dhamki dy kr
aur phir fakhar kea krta
mezaj main hat dharmi aur zid tuu ab b wesi hi ha
lekin hat dharmi aur zid sehny wala koi nahi
dhamki b dy sakta hon
lekin dhamki main any wala koi nahi
es k bawjud
jo kuch b chaha ha jesy tesy hasil kea ha
aur duniya ki beshumar nemat''ain muyasar hain
magar
wo lamhy jo beet gay
aur waqt jo guzar gaya
kahan say laa''on aur kis say mangon??