Mohabat seekh kar

Mohabat seekh kar
Mohabat seekh kar karna k bin seekhay mohabat ka
Safar dushwar hota hai
Gireban taar hota hai
Kabhi inkar hota hai kabhi iqrar hota hai
Mohatbbat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat tu serabon ki kahani hai
Dukhon ki raj dhani hai
Jo kal ban jai ga badal yeh dary ka woh pani hai
Mohabat seekh kar karna
K bin seekhay mohabat azab-e-zindagi thehri
Sharab-e-zindagi thehri na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri
Isi khatir tu kehta hoon kisi ustad-e-kamil say
Mohabat seekh kar karna
  

Jun, 03 2010     506 chars (4 sms)     2449 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

meri sarKashi B Thi munfarid
meri aajzi B Kamal thi,



main Ana Parast bala ka tha,
So Gira to Apne hi Paon main.
Yai dua Hai mery abh na ho dedaar tera
abh na tery tarap na ho intezar tera
hun tu mein wohee aur wohee piyar mera
par ay jaan-e-man abh nahin etibaar tera
kiyon aagaeen duriyan humaray darmiyan
mein ay humnasheen kiya hai, qasoor mera?
mai ne jo poocha kismat ka haal.
aankhon se ansson ki do bondain gira dain.
mai ne jo pucha baraish ki wajha.
maathe se paseene ki chand bondain gira dain.
mai ne jo puch husan ka raaz.
jub hi chahre pe do zulfain gira dain.
main jo pucha kayamat ka haal.
palkain utha kar palkain gira dain.
woh sari baatain yaad aati hain us ko

woh subhain,
woh shaamain

wohi zindagi ki musafatain

jinhain gin gin kay guzara kartay thay..

phir jub

haqeeqaton main wapis lout''ta he

toh

muskura daita he,.

aur

sar jhatak kay kehta he..

pagli!!!
Wo kehta tha tere jism ka saaya hoon fArAz...

Shayad issi liye andheron mein saath chhor gya...
kar raha tha tufaan mere azaam ka tawaaf



log samajte rahe kashti banwar main hy
aik muddat say teri yaad bhi aayi na hamain

or tujhe bhool gaye hon ham aisa bhi nahi..
sainkroon rste hain Ajnabi BananY K LiYe,



Tark Krna hY Ta,aluQ TO bAhanaY Na bana.
Dosti ka rishta purana nahi hota,
Iss se bada koi khazana nahi hota,
Dosti pyaar se bhi pyari hai,
Kyun ki iss mein koi DOST pagal ya deewana nahi hota.
YuuN to har ik nigaah aati hai,
Mujh ko sun_ne ki chaah aati hai,
Mera har sher hai qurbaaN us par,
Jo tere lab se "waah" aati hai.
udasion mein jeena adat ban gai hai.

jin se umeed thi yad rakhne ki wohi bhool gaey
............BHULAYA NA JAA SAKA............
Palkon pe aanso''on ko sajaya na jaa saka../
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka../
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera../
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka../
jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood../
aankhon main aanso''on ko chupaya na jaa saka../
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain../
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka../
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho../
hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka../
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar../
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka../
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye../
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka../