Ek Gulaab Tha
Zara Der Ka kOi
Khwab Tha,
Jo Guzar Gaya Si
Guzar Gaya
Wo Udaas Dhoop
Samait Ker
kahin Wadiyo''n Main
Utar Gaya
Usay Ab Na De Mere
Dil Sada
Jo Guzar Gaya So
Guzar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna
Taveel Hy
Yahan Waqt Kitna
Qaleel Hy
Kahan Laut Ker Koi
Aaye Ga
o Guzar Gaya So
Guzar Gaya ...!!
Kabhi jo dekhni ho meri mohabbat
Tu mri chahaton mein aa jana
Kabhi jo karni ho mujhsay batein
Tu meri yadon mein aa jana
Kabhi chaho mehsos karma pyar mera
Tu meri aankho mein aa jana
Kabhi jo sun nani ho awaz meray dil ki
Tu meri dharkano mein aa jana
Kabhi jo pao khud ko akela sa
Tu meri rahon mein aa jana
Kabhi jo so na pao meri yaad mein
Tu meray khuwabon mein aa jana