Koi Dukh Na Ho

Koi Dukh Na Ho
Koi Dukh Na Ho
Koi Gham Na Ho

Koi Aankh Kabhi Purnam Na Ho
Koi Dil Kisi Ka Toray Na

Koi Saath Kisi Ka Choray Na
Bas Pyar Ki Nadiya Behti Ho

Kaash K Dunya Aisi Ho
  

Jun, 04 2010     174 chars (2 sms)     2997 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dil ki baat keh pana hai mushkil,

jisko chahte hai use pana hai mushkil.

Waqt k hatho mujbur hai kuch is kadr,

unhe batana aur khud ko samjhana hai mushkil!
"tum jo pal pal jore ke dil tore dete ho
ye tumhari adat hai ya hamare saath hi aisa karte ho

tumhare ye adat bar bar dil tore daite hai hamara
aisa na ho ke jorne ke like na rahe dil hamara
apny ghar ki tareekiyon ko kis tarha mitaon,
.
.
.
bohat maghroor hai wo chaand marzi se niklta hai.
Kyun Jaagte Ho ?

Kia Sochte Ho ?

Kuch Hum Se Kaho

Tanha na Raho

Socha Na KAro

Ab Raat Ki Aankhain Bheeg Chaliin

Aur Chaand Bhi Hai Chuph Jane Ko

Kuch Der Main Shabnam Aaye Gi

Phoolo''n Ki Pyas Bujhane Ko

Shadaab Shagoofo''n Ki Suurat


Khwabo''n K Nagar Main Kho Jao


Ab So jao . . . ! ! !

Ab So Jao . . . ! ! !
Kia Gham hai Kia Khushi Hai Malom Nahi
Wo Apna Hai k Ajnabi Malom Nahi
Jiske begair Ek Pal Nahi Guzerta
Kesy Guzry Gee Umer Malom Nahi
mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
Jo Gehri Neend Sotey
Hon, Mohabbat Ker
Nahi Sakte ...

Sukoon Itna Kahan
Haasil Mohabbat
Kerne Walo''n Ko ? (:
Tumhe Kahabar Hee Nahi Tum jo Lot Jao ge
Tumhare Hijar Mein Lamha Hona Hai
Hamari Roh Pe Jab Bhi Aazab Utrain Ge
Tumhari Hee Mohabbat Ko Iss Dil Ki Dhaal Hona Hai
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
humara bachha najayaz hein to kya...........
hum kaunse jayaz they................
mAsoom C Khwahish hy Dil ki,

pakeeza Chahat hy meri


koi DaAG Lagay to kaise


Ba''wazoo mohAbAt hy meri.
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain
Baatein aisi karo ke jazbaat kabhi kam na ho;
Khayalat aise rakho ke kabhi ghum na ho;
Dil me apni bas itni se jagah dena hume;
Ke khali-khali sa lage jab hum na ho