Raste Torr K Jane Wale
Mujhe Chor K Jane Wale
Ab K Eid Pe
Mujuhe Jitne Card Mile Hain
Sab Se Pyara
Sab Se acha
Pehla Card Tumhara Hai
Mujhe ko Chor K Jane Wale
Zara Kaho To Yeh Kisi Aur Ishaara hai
Mohabbaton ki saza bemesaal de usnay,
Udas rehnay ke aadat daal de usnay,
Meray wjood pe jab itnay zakhm dekh chuka,
To jan boojh k kanton ke shaal de usnay.
Dikha rahe hai mujhe zindgi me khwab bahut,
tumhare chehre se milte hai ye gulab bahut,
jara batao mujhe pyar kitna hai,
tum apni ungliyo pe rakhte ho hisab bahut
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sakay,
Tere Yaad Mein Rat Bhar So Na Sakay,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,
Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sakay
Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !