KyuN bAr bAr tuJh kO

KyuN bAr bAr tuJh kO
KyuN bAr bAr tuJh kO MoHoBBaT JAtAon mAin,

BeHtAr hAi aB yEhi K TuJhE BHOOL jaOn mAin..


WaqiF tErE sAluq sE SArA jAhAn hAi,
PhiR Kyu ziNdAgE kO oR TAMASHA bAnAo mAin..


NaFrAt kA eK bAr iZhAr To kArEn sAri umAr Jo uN kO SURAT diKhOn MÄiN..


HaSrAt bhAri nigAh kA KOi sAbAb tO hAi,

Tu hAaLe diL tO pUch KAhiN MAR nA jAoN mAin..


GhAm kA mErE iLaAj jAb tU bHi nA kAr sAkA,

PhiR kYu nA iS JAHAN sE piChA CHURAON mAin.../
  

Jun, 07 2010     445 chars (3 sms)     2389 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Us nay kaha mugh say tumain kitna pyaar hia
main nay kaha sitroon ka koi shummar hia

uss nay kaha kon sa tohfa doon tumain
main nay kaha woh shaam jo ab tak udhaar hia
Khamoshi Jurm Hai Agar Muunh Mein Zubaan Ho
Kuch Na Kehna Bhi Hai Zaalim Ki Himayat Karna... !!
Is raat ki tanhaiyon k
Sab rang badal Gaye hai
Chand nikla hai waise hi
Andhere badal Gaye hai
Jin k bharose theen khushiyan
WO badal teher Gaye hai
mana k mera katil bhi wohi tha.
saray shehr mai tarif k kabil bhi wohi tha.
kehta tha apna hoon apno mai rahuga
bani jo saf e ghair to sab se aage bhi wohi tha.
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Aiana jab bhi dekhta hon.
Teri Tasv nazer aati hai.

Meri taqdir se juri teri taqdir nazer ati hai.
Or koe chahy bhi to hume juda nahi kar sakta.

kiun k jo mohbat meri ankhon me hai.
wahi mohbat teri ankhon me nazer ati hai.
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Meri zameen par jo chandni hai
Woh sab teri hai
Meray falak par jo dilkashi hai
Woh sab teri hai
Jo titilion k paron pay likhay hain khat merayhain
Yeh jugnoun mein jo roshni hai
Woh sab teri hai
Jo shab pay chai khamoshian hain
Woh sab meri hain
Sehar mein jitni bhi naghmaghi hai
Woh sab teri hai
Jo teri muthi mein khushboain hain
Woh sab meri hain
Jo meri aankh meein roshni hai
Woh sab teri hai
main kachi nind main hun
aur apne nim khwabida tanaffus main utarti
chandani ki chap sunti hun
guman hai
aj bhi shayad
mere mathe pe tere lab
sitare sabat karte hain
Extreme Of My Luv For U .. .

"Main Hun To Musalman ,

Magar...


Poojta Hun Teri Tasvir Ko Kafron Ki Tarha..!
Mein Udas Rasta Hon Sham ka
Mujeh Aahton ki Talash hai
Ye Sitary Hain sab Bujhy Bujhy
Mujhe jugnuon ki Talash Hai
Her Khushi hai mujhse Khafa Khafa
Mujhe Zindgi ki talash hai
Meri Piyas mein wo talab nahi
Mujhe Tishgini ki talash hai
Ik hajoom sa hai rawan duwan
Mujhe kisi ki talash hai
Main Nay Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din
Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin
Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai
Mari Shayri Sach Bolti Hai ....