Meray nazdeek aa k dekh

Meray nazdeek aa k dekh
Meray nazdeek aa k dekh meray ahsas ki shiddat"MOHSIN",


Mera dil kitna dharakta hai teray naam k sath..
  

May, 28 2010     109 chars (1 sms)     3232 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

phir yahan kya maray hone ka jawaz!!!!

gahr nahein koi muntazir mera,,,,
Yad ha tum ne
muje kaha tha

agar kabhi ham
bichhar gaey to
dil mein pyaar ke jugnoo bhar ke
kuch pall muj ko dhondtey rehna
dekhna main phir laut aaon gi
lekin..
teri yaad mein ab tak
main aur jugnoo bhattak rahey han
Na.. Chaho Kisi Ko Itna Ki,
Chahat Tumhari Majburi Ban Jaye
Chaho.. Kisi Ko Itna,
Tumhara Pyaar Uske Liya
Zaruri Ban Jaye..
Kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo

tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar'' thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo

tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo.
Yahan apni apni bari per sab hanste hian..Sab rote hain..dil to sab ka hota hai,aur dukh bhi sab k hote hain.kuch ashq dilon per girtey hain,kuch matti main mil jatay hain.kuch lafz adaa ho jatay hain ,kuch honton main sil jatey hain..Mana k adhooray rehtay hain par khawab to sab k hotay hain.
YuuN to har ik nigaah aati hai,
Mujh ko sun_ne ki chaah aati hai,
Mera har sher hai qurbaaN us par,
Jo tere lab se "waah" aati hai.
koi samjhe tu aik baat kahoon....

ishq toufiq hy gunah nahin..
Ruh Per Ik Naya Ghao Laga Hey
Her Bar Naya Khawb Bun Liya Hey

Khuch Bhi Na Khaha Tu Ney Mujh Sey Per
Main Ney Her Un Khaha Lufz Sun Liya Hey

Wafaon Ka Sila Mangtey Nahen Kisi Sey
Terey Andaz Pey Apna Sir Dhun Liya Hey

Gilla Ker Key Mohubut Ko Ruswa Nahen Kertey
Hum Ney Bera Hi Mushkil Rusta Chun Lia Hey
To Achieve Something We've To Cross 3 Stages...

1. Insult...

2. Opposition...
...
3. Acceptance...

Fools Stop At The 1st..

Losers Stop At The 2nd..

WINNERS Cross The 3rd...
khizaon mein hota hai imtihan wafaon ka...

jo shajar ko payray wo pattay gira nahi kartay..
iShq Kii Daastaan Hai Pyaare,
Apani Apani Zubaan Hai Pyaare

Ham Zamaane Se iNtaqaam To Len,
Ek Hasiin Darmiyaan Hai Pyaare

Tu Nahin Main Hun, Main Nahin Tu Hai,
Ab Kuch Aisa Gumaan Hai Pyaare

Rakh Qadam Phunk Phunk Kar Naadaan,
Zarre Zarre Men Jaan Hai Pyaare.
Be-khuloos logo’n se
Ijtinab karna hay

Mujhy apne rishto’n ka
Ehtisab karna hay

Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay

Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay