na suno gar buraa

na suno gar buraa
na suno gar buraa kahe koii
na kaho gar buraa kare koii

rok lo gar Galat chale koii
baKhsh do gar Khata kare koii

bak rahaa huu’N junuu’N me’n kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koii
  

Jun, 05 2010     202 chars (2 sms)     2271 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bojhal nazar aati hain Bazahir mujy lekin
Khulti hain Boht Dil mein Utar kar Teri aankhein

ab tak Meri aankhon se Mitaey Nahi Mit''ta
bheegi hui Shaam ka Manzar Teri aankhein...!!
nend aati hi nahi aankhon ki dehlizon tk
khali reh jata h aksar ye makan sham ke bad
Bohat Udas Hai Koi Shaks Tere Jane Se
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ik Bar To Dekh
Koi Toot Gaya Hai Tere Rooth Jane Se
Ab Hogaya Jo Hona Tha,

Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha,

Jis Dil Me Rahe Ho Tum Saalo Se,

Wo Tumhare Liye To Ek Khilona Tha.
Palko K Uthte Hi Do Diye Se Jal Jaate Hai
Jhuk Jaati Hai Jab Palke
To Band Kaliyo Se Nazar Aate Hai
Uski Aankhe hai Ya Meh K Pyale
Jo Bin Peeye Hi Hum Behak Se Jaate Hai....
kya chupaye ga naqab us k shaba ko GHALIB...

nigah-e-ishq se pathar bhi toot jate hain.
Tumhain jana ijazat hai
Koi b rasta chun lo

Kesi ki muntazir tehro
Ya hum ko alwida kehdo
Humari Awaz Unhe Sunai Nahi Deti Hai

Ab To Door Tak Koi Umeed bi Dikhai Nahi Deti Ha

Ehsas Unhe Or Sab Dosto Ka Hai

Bass Hamari Tanhai Unhe DIkhai Nahi Deti Ha
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai tere aankhon ne ... warna ae saaqi tere mah khane mien rakha kye hai.... dehk laila tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye surahi sa badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....
Wo Jo Poochta Hy Ye
Bar Bar ?

Kia Hy Zindagi Aur
Maut Kia ?

Aa Tjhy Btao''n
Me Is Trha

Tera Mera Jo Hy Ye
Rabta

Tujhy Pa Lia Tou Hy Zindgi

Tjhy Kho Di Tou Ye Maut Hy
Jin Ki Dehleez Se wabasta Ho zindagi !!
Kaise Mumkin Hai Un Se juda Hona !!
Wo Lakh Murawat Se kaam Lain Phir Bhi !!
Ye Dil Nahi Manta Un Se Khafa Hona !
ek roz koi tou sochay ga,
ek shakhs tha pagal pagal sa.
pr baatain theek hi kehta tha,
baraish ki tarha pur-shor na tha.
dariya ki tarha chup rehta tha.
aur jin se pyar wo kerta tha,
judai bhi unhi ki sehta tha.
ek roz koi tou sochay ga,
kyun jetay-ji dargore kuwa.
kis ranj ne usko maar dia,
ek roz koi tou sochay ga,
or pehron baith ke roye ga.