Tum na maano magar

Tum na maano magar
Tum na maano magar hakeekat hai,
Ishq insaan kee jaroorat hai.
Uski mehful mein baith kar dekho,
Jindagi kitnee khoobsurat hai.
  

Jun, 02 2010     131 chars (1 sms)     3231 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Janey Kese Jeete Hyn Log
Yaado''n K Saharey "Mohsin"

Main Tou Kai Baar Marta
Hoon , Ek Yaad Aane Par !!
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Wo Mudaton Baad Mila Aur Mera Naam Bhool Gia

Jaate Hue Jis Ne Kaha Tha Tum Yaad Bohat Aao Ge
Mujhy Itna Na Chaho k
Main Khud Ko Tum
Samajh Betho''n

Mujhy Ehsaas Rehny
Do Meri Apni Bhi Hasti
Hy ... !!!
chandni rat ky seemi se haseen ancha l main
jabkh hasti ka her ik naqsh sanwer jata hai
ik nakam musafir tery milny keliy
sir jkhukaey tery koochy se guzer jata hai
ae qasid agar usne dosti k laye kuch likha hai.

tu us kah de k "AMI"ne dost bnana chor daye hain.
Waqt ko bass tumhare saath bitana acha lagta hai,

Tumhi se baat karna muskurana acha lagta hai,

Tumhare aansu b pyaare tumhari muskurahat b,

Tumhi se roothna tum ko manana acha lagta hai,

Tumhari khushyaan mujhe Ae dost hein apni jaan se pyaari,

Tumhare waste har gham uthana acha lagta ha
Usey ye shouq hai mohabbat ki bheek mein mangoon
meri ye zid k taqaza mera usool nahi
usey ye shouq k uski sari zidain hon poori
meri ye zid k ruswai mujhe qabool nahi
usey ye shouq k saari chahat usey doon aur wo lota de
meri ye zid k meri chahat itni bhi fazool nahi
usey ye shouq k kante na lagain haathon mein
meri ye zid k qismat mein sirf phool nahi
usey ye shouq k hans k sahon sari takleefain
meri ye zid k mera pyar koi urti hui dhool nahi
Apne Hatho Ki Lakiron Ko Khurch Dala Maine
Ksi Aamil Ne Kaha Tha Tu Paraya Hoga
Sham Hote Hi Sare Diye Bujha Deta Hun
Ye Dil Hi Kafi Hy Teri Yad Me Jalne K Liye
BARBAD KARNEY K AUR BHI RASTEY THEY FARAZ,
NA JANE UNHEN MOHABBAT KA HI KHAYAL Q AYA??
hay baad-e-marg bhi yaaro wohi tafreeq ka aalam...

na qabrein aik jaisi hain,na katbay aik jaisay hain...!
khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye

muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye

ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye

main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitaabon mein chupa ker ley jaye

khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye

un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye