Jata Jata K Muhabbat

Jata Jata K Muhabbat
Jata Jata K Muhabbat,

Dikha Dikha k Khaloos,

Boht Kareeb se Loota hY.


''''APNO''''

Ne mujhe.
  

Jun, 02 2010     107 chars (1 sms)     2722 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k,

teri zaat iska sabab nhi,kaei din se yunhi udas hoon,
kuch iss tarha se woh mery zindagi main jo shamil hui
apney wajood k lye hum he ajnabi or woh k malik hui
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
MUDDAT HUI HAI YAAR KI AAI NAHI KHABAR,
LAGTA HAI QASID BHI RAQEEBON SE JA MILA..
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Kabhi socha hai?
hamary rishtey ka naam kia hai
mohabbat,zarorat, khawahish, jonoon,ishq
yaa
wo rishta jo
aasman ka zameen se hai
barsih ka sehra hai
haqeqat ka khawabon se hai
din ka raat se hai!
ye bhi kabhi aik doosry se mil nahi saktey
lekin aik doosry k baghair adhoory bhi hai
shayad aisa hi kuch rishta
mera aur tumhara bhi hai!!!
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.Baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Houslay Zindgi K Dekhtay Hain..

Chalo Kuch Roz Jee K Dekhtay Hain..

Barishon Say To Pyas Bujhti Nahin..

Aao Ab Zeher Pee K Dekhtay Hain.../
yeh keh kr us ne Shajar ko tAnAy se kaat Dia.



k is dArkht mAin kuch TahniAn purAni hAin.
wo to ambar hai...
usey apne anchal par,
chand sajane ka haq hai
mai to fakat ek khushboo hu
khushbuo ka mukaddar to
azal me bikhar jana hi likha hai
khushboo hath nahi hati
na hi chand aur khushboo ka
wasl mumkin hai
ye to hawao ki musafir hai
chand to thos hakikat hai
jo ambar par hi sajta hai............