Khwab ka aitbaar kr loo''n kya?

Khwab ka aitbaar kr loo''n kya?
Khwab ka aitbaar kr loo''n kya?
Ankh per inhisaar kr loo''n kya?

Maine kuch b nahin kaha tujh sy.
Aur bhi ikhtisar kr loo''n kya?

Teer aa kr mere qareeb gira.
Kya kro''n, aar paar kr loo''n kya?

Tu mohbt nahin,Aqeeda hy.
Main tujhey ikhtiyar kr loo''n kya.

Aik manzar bnanay wala hun.
Is mein shamil bahaar kr loo''n kya?

Zindgi to guzaar skta hun!
Zindgi ko guzaar kr,,, loo''n kya?

Dil b khamosh ho gya Faisal.
Raftagaa''n mein shumaar kr loo''n kya?
  

May, 28 2010     477 chars (3 sms)     3533 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sache dil se karo fariyaad to
Duniya ki har ek cheez milti hai.
Jis par khuda ki rehmat ho jaye
Use kaanto me bhi khushbu milti hai.
Zabt-e-gham is qadar aasaan nahi hay Faraz ...

Aag hote hain wo Aansoo jo piye jate hain.!~
Adat hai teri yad ane ki,
En akhoko teri ek jhalak pane ki.
Hamari to tamanna hai apko pane ki,
par shayad apki adat hai hame tadpane ki.
phirti to ab b hogi tu nangy paao''n.....

tokna kisi ka aksr yaad aata hoga..
Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah,
aankhon main bas gaye hai intezaar ki tarah,
kaise bhula de unhe hum apni yaadon se,
unhone inkaar bhi kiya izhaar ki tarah...
Tumhare Hijr Ki Sadiyan, Tumhare Wasal K Din...
Main Us Shumar Se Niklon Tu Aur Kuch Sochon...!!
Mere Din Raat Mushkil Mein,
Sukoon Ek Pal Nahi Mujh Ko...
.
Mohabbat Taras Kha Mujh Par Mohabbat Chorh Ja Mujh Ko....
Maut ki Akhri Hichki Ko Zara Ghaur Se Sun,







Sari Hansi Ka Khalasa ISi Awaz mAin Hay
Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.
Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho...?


Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho...?


Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho...?
Laakh doori ho maghar ehad-e-wafa nibhati rehna,
Jub bhi Barish ho mera sog manati rehna,
Ek Muddat se aadat hoi hai ab to ,
Ap hi aansoo bahana Ap hi muskurate rehna
Na Jane Kb Tk Teri
Tasweer Nigaho''n Mai Rahi

Ho Gai Raat Tere
Aks Ko Takte Takte

Maine Phr Tasawur K
Kisi Lmhe Mai

Teri Tasweer Pe Lab
Rakh Diye Aahista Se