Geely kagaz ki tarha

Geely kagaz ki tarha
Geely kagaz ki tarha zindagi hy apni,

koi likhta b nahi koi jalata bi nahi,

is qadar akeley hain ab hum bhi,

k koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.
  

Jun, 07 2010     161 chars (2 sms)     3617 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Teri chahat ki girhain kholta hun
Sar e masrgan sitaray tolta hun

Meiri sanson me teri khushi hy
Mein tanhayi me tujh se boltahun

Dhadkanay preet me tez hoti hain
MOHABBAT ke phool ko piyar se khilata hun

Chum leta hun labon ko chah me
Youn khud ko madh hosh karta hun
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Mana k bura hun mgr itna bi ni hun

Kuch nazron se gira hun mgr itna bi ni hun
uske honton ko dekha tu meray dil me khayal aya.

wo lafz kitnay nashelay hongay jo inhay chho kar guzarty hongay.
Meri Tanhaaiyon Tum Hi Lagaa Lo Mujko Seene Se...,
Ke Mein Ghabhra Gayaa Hun..
Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se..!!!
Tum na maano magar hakeekat hai,
Ishq insaan kee jaroorat hai.
Uski mehful mein baith kar dekho,
Jindagi kitnee khoobsurat hai.
Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai
Har nazar ko ek nigah ka haq hain,
har raah ko ek aah ka haq hain.
hum bhi dil le kar aye hain duniya main,
hume bhi ek gunah ka haq hain..
Jo Manzar Ek Bar Guzar Jate Hain Nigah Se
Phir Dhoondti Aankhoon Mein Wo Manzar Nahi Aate
Khuch Log Kisi Baat Per Ate Nahi Hain Yaad
Khuch Log Kisi Tor Bhulaye Nahi Jate
mere haathki lakeerain to khafa hain mujh se..sahil"
tum apney he haathon mein mera mukadar dekho.
hai nisf e shub wo dewana abhe tak ghar nahe pahuncha,

kisi say chandni ratoon ka qisa chirr gaya ho ga!
koe pal ho teray sath ka meri umar bhar ko samait lay..

main''fanaa''baqaa''k sabhi safar usi aik pal mein guzaar doon.