Her jaanib samundar

Her jaanib samundar
Her jaanib samundar hai
Kinaara kiyun nahi milta..
Mere Maula bataa
Mujhko sahaara kiyun
nahi milta..
Mujhe is shehar mein din bhar
Hazaaron log milte hein..
Jissay mein doondnay nikla
hoon woh pyaara kiyun
Nahi milta..
Jissay Chaha, Jissay Pooja,
Jissay Socha, Jissay Likha,..
Mere Maula mera us se
Sitaara kiyun nahi milta..
Bohat hi door hai manzil Bhatakna
hai kab Talak,
Yah Rab..
Kissi ki Ankhon ka mujhko
Ishara Kiyun Nahi Milta...
  

Jun, 04 2010     457 chars (3 sms)     2505 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Nazr me zulmat Badan me thandak
Jamal kitna ajib sa tha
Me uski chahat me ghr se nikla tou
Haal kitna ajeeb sa tha
Na mene usy khatoot likhe
Na usne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raato''n me chand dekhe
Main apni raato''n me usko socho''n
Badalte lamhon me soch ka ye
Visal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kr lo ge
Mene poocha tou ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
Hai Ta''aluq Tou Ek Saada Lafz

Phir Jo Bhi Hai Wo Nibaah Main Hy

Kab Se Maine Palak Nahi Jhapki

Koi Meri Nigaah Main Hai
ro ro kar usne kaha mujhe tum se nafrat hai..

agar nafrat thi tu phir itna rona kauon?
Aista humara is jahan main sabse pyra ho,

Jese zindagi ko sanson ka sahara ho,


Yaad rakhna humain us pal main bhi yum,

Jab tum akele ho or koi na tumhara ho!
Kisi Ko APne Aamaal Ka Hisab Kia Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab Kia Dete
Jo Ek Lafz Ki Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath Mein Sari Kitab Kia Dete
Kahan Talash Karen
Jazeera-e-Sukon-e-Nazar

K Is Jahan Me Koi Tjh
Sa Duusra Nhi

Basa Hua Hy Mere DilMe
Wo Khushbu Ki Trha

Duur Hy Mujh Sy
Magar Phr b Juda Nhi
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai Faraz
Aao Uski Yaad Mein Thak K So Jaein
DUwa Tu Najanay kon c thi
zehan main nahi
bas itna yad ha
do hathay-liyan mili howi thi
jin main ik meri thi or ik tumhari
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.
ye shehr k logg jissay kehtay hain masseeha,

wo shaks meray dard say anjaan sa qyun hai?

matti ka bana hy to ghul qun nahi jata,

pathar ka sanam hai to insan sa qun hai?
hai nisf e shub wo dewana abhe tak ghar nahe pahuncha,

kisi say chandni ratoon ka qisa chirr gaya ho ga!