chahre ka nisf hissa zer-e-naqaab kar k...

chahre ka nisf hissa zer-e-naqaab kar k...
chahre ka nisf hissa zer-e-naqaab kar k...

karte hain husan waley deedar mein milaawat!
  

May, 28 2010     91 chars (1 sms)     2600 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kuch iss tarha se woh mery zindagi main jo shamil hui
apney wajood k lye hum he ajnabi or woh k malik hui
ZakhAm GintAy Hain

khAwAb likhtAy Hain


Aao mil kr AzaaB LikhtAy hAin


Aao shAmAA Jala kAy yAdoon ki


ZindAgi ki kiTAAb likhtAy Hain.
Unka Waada Hai Ki Vo Laut Aayenge ,
Esi Umeed Pe Hum Jiye Jayengey ,

Ye Intjaar Bhi Unhi Ki Tarah He ,
Kar Rahe They , Kar Rahe He Aur Kiye Jayenge
Hua Jo Gam Apko Dard Kisi Aur Ko Hoga,

Haso Jo Aap To Khush Koi Aur Hoga,

Socho To Zara Us Insan K Bare Me,

Wo Akhir Mere Siwa Aur Kaun Hoga
Aansu nahi thamte
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
Aasan to nahi apni hasti se guzar jana
Utra jo Sumandar mein to dariya bohat roya

Jo Shaksh na roya tapti rahonmein
Dewar ke saaye mein betha to bohat roya

Bari mushkil se zinda rah raha hon
Bari Mushkil se ye aadat pari ha.
meri awargi mein kuch dakhal hay tumhara bhi mohsin,

tumhari yaad aati hay to acha nahin lagta.
us k dil per bhi kari ishq main guzri hogi.

naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hay.
yeh milna aur bicharr jaana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
ki aakhir kyu jo hum tum se nahi keh paate hai
wo dharkan se sunayi deta hai.
kisi k chord jane par use sanbhala tha humne bhi ek shakhs ko..

jub izhaar kua us se apni muhabat ka injaan ban gaya wo..
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
YuuN to har ik nigaah aati hai,
Mujh ko sun_ne ki chaah aati hai,
Mera har sher hai qurbaaN us par,
Jo tere lab se "waah" aati hai.