Na Tasweer Hai Tumhari

Na Tasweer Hai Tumhari
Na Tasweer Hai Tumhari Jo Deedar Kiya Jaye,
Na Tum Ho Pas Jo Pyar Kiya Jaye,
Yeh Kaisa Dard Diya Hai Tum Nay,
Na Kuch Kaha Jaye,
Na Tum Bin Raha Jaye.
  

Jun, 02 2010     155 chars (1 sms)     2524 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sub Roshnian muj say Roth gain Yeh kah kar.!
Tum Apney Ciragon ki Hifazut nahi Kartey.!
Ae kalam zara ruk k chal,
kya haseen muqam aya hai,
kuch der thehar ja,
tere nok ke neeche mere dost ka naam aya hai..
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
Zindagi bharr ki Ulffat lay lo..
Meri ulffat ki saadgi lay lo..

Ik pal ki muhey khushi day kar..
Mujh say Zinddagi lay lo..

Meray jeevan ki har khushi lay lo..
Chandd saansein mera assasa hain..

lena chahoo tu unhein bhi le lo..
Meri Qissmat main qehar rehnay do...

Meray Damman ki har kali lay lo..
Main Khizaaon main zindda reh loongii.
.
Tum baharoon ki taazgii lay lo..
Bass ik pal ki khushi day do...
Wohi muntazir negahain
wohi sham-e-gham ka manzar...
main azal sy dhoond raha hun
teri wapsi ki rahain...
aesi berbadi na kbhi dekhi ho gi tm ne
na koi raakh, na shola, na dhuan sham ke bad
Ab mai ne ph0ne pey bachiy0n sy baten krna chorde hain. . .
pappu

hr kisi k0 meyassr hua to aam ho jaownga. . . ;->

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
chalo...tum sath mt dena..

mujhe beshk bhula dena..
naye sapne saja lena..

bhula dena sbh he waaday..
sbhi qasmain sbhi naatey..

tumhain jana ijazat hai..
jo DIL chahey wo sb krna..

mgr ab tum kisi se bhi..
ADHURA PYAAR MT KRNA..!!!

My poetry Speaks For Me
main yeh nahi kehta
key koi dil main na samaye
main yeh nahi kehta
key koi Aarzoo na ban paye
par.......! itna zaroor kehna hai
agar samajh sako
key dil main kabhi kisi ko
itni jagha na do
key dil key liye dharakna hi
mushkil ho jaye
Bichra hai Jo aik baar Tu milte nahi daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi daikha

Kantoon main giray phool ko Choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi daikha..
Khamoshi Jurm Hai Agar Muunh Mein Zubaan Ho
Kuch Na Kehna Bhi Hai Zaalim Ki Himayat Karna... !!