Har naqsh dil se mita dia hai

Har naqsh dil se mita dia hai
Har naqsh dil se mita dia hai
suna hai tumne mujhe bhula dia hai

tumhain bhulnay ki is koshsh-e-nakaam ne
phir usi raastay se mila dia hai

phir jagi hai khuwahish tumse milne ki
isay phir thapkiyon se sula dia hai

kitnay pursukon thay meri zindagi k lamhe
teri aahat ne sara aalam hila dia hai.
  

Jun, 03 2010     308 chars (2 sms)     2471 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Na Ziker Ker Meri Aada K Bary Mein
Hum Bhi Janty Hain Sab Kuch Wafa K Bary Mein
Sunna Hai Woh B Mohabbat Ka Shouq Rekhty Hain
Jinhy Khud Khabar Nahi Kuch Wafa K Bary Mein
Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K
Rakh Dia Hai Uss Ne Mujhe Shehar Mein Ruswa Ker K
Wo Samjh Sakta Nahi Ishq-O-Janoon Ki Batain
Mein Bata Sakta Nahi Un Ka Khulasa Ker K
Ain Mumkin Hai K Wo Iss Baat Pe Aamada Ho
Dekh Lete Hain Mohabbat Ka Taqaza Ker K
Ain Mumkin Hai Wo Nikal Aye Gahr Se Bahir
Dekh Lete Hain Naya Koi Tamasha Ker K
Wo Jo Aya To Aye Ga Lamha Bhar Ko
Lot jaye GA Koi Aur Bahana Ker K
Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aansuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
Khamoshi Jurm Hai Agar Muunh Mein Zubaan Ho
Kuch Na Kehna Bhi Hai Zaalim Ki Himayat Karna... !!
Mera Pyar Mujhse Dur Hai.

Mera Dil Is Waqt Milne Ko Majbor He

Idhar Ham Tadpe Udhar Vo Tadpe

Shayad Yahi Mohabbat Ka Dastoor he
Tum na maano magar hakeekat hai,
Ishq insaan kee jaroorat hai.
Uski mehful mein baith kar dekho,
Jindagi kitnee khoobsurat hai.
Sirf bandhan ko viswas nahi kehte,
Har aansu ko jazbat nahi kehte.
Kismat se milte hai ye riste zindagi mein,
isliye rishto ko Kabhi itefaq nai kehte
Ham Ne Kanton Ko Bhi Bari Narmi Se Choya Hai

Log Kitny Bedard Hain Pholon Ko Masal Dety Hain
Muje manzilon se aziz hain teri rahguzar ki musafaten
K likhi hain mere naseeb men abi umar bhar ki musafaten

Isi ik pal ki talash men jise log kehte hain zindagi
Teri rah guzar men bikhar gayeen meri umar bhar ki musafaten...;>
Kahan se aati hai Hichkiya,

kaun Fariyad karta hai.

Khuda usey Hamesha Salamat rakhe,

Jo HUME pyar se yaad karta hai.
Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,
tu jo bichry to mily dard qyamat jesa
tujh se kesa ye ta,luq hy muhabat jesa
jisy chaho usy ehsas-e-khudai dy do
silsila piyar ka rakho to ebadat jesa