Mohabbat mujhe thi

Mohabbat mujhe thi
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.
  

Jun, 03 2010     147 chars (1 sms)     2326 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Agar tumhein ho kabool jana,
Falak k tabinda Chand taray,
Ye wadioon k Gulab saray,
Agar kaho to bana doon saray,
Tumharay kadmoon ki dhool jana,
Agar tumhein ho kabool jana,
Tumhari Ankhoon ko jam likhein,
Tumhein nazar se slam likhein,
Aur apne dil k haseen work pe,
Fakat Tumhara hi naam likhein,
Jahan ki her aik naghmagi ko,
Tumhara Tarz-e kalam likhein,
Agar Ejazat ho hum b ker lein,
Ye pyar ki ik bhool jana,
Agar Tumhein ho qabool Jana...?
Hathelii
Duwa to janey
kon se thi zahain mai nahi
bas itna
yaad hai k
do hateliyan mile hoyee thi
jin mai say
ek MERI thi OR ek TUMHARI
Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr.
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
Hazaron gham hain lekin aankh se nikley nahi ansoo

Hum ehl e zerf hain peetay hian chulkaya nahi kertey.
Aap Se Khafa Hokar Hum Jayenge Kahan
Aap Sa Sathi Hum Payenge Kahan
Dil Ko To Kaise Bhi Samjha Lenge Hum
Lekin Ankhon Ke Aansu Chupayege Kahan
sar nama mere naam ka aur khat raqeeb ka..

zalim tere sitam k hain unwan ajjab ajjab...
Haseen kitna zeyada ho gaya
Woh jab se aur sada ho gaya

Chalo hum bhi mohabbat kar hi leen ge
Agar us ka irada ho gaya

bhula doon ga use agle janam tak
Mera us se yeh wahda ho gaya

Ghari bhar us ki aankhon main utar kar
Samandar bhi kushada ho gaya

Bicharne ka use bhi dukh hay shayad
K ab to woh bhi adha ho gaya
Lagta nhi k sath nibhae ga dair tak,
Lekin wo muJh ko bhool na pae ga dair tak. . .
Jo bhi qareeb aae ga us k usy zaror,
wo meri dastan sunae ga dair tak. . .
Dhonde ga wo muJhe inhi galiyon me aik din, Dhonde ga or muJh ko na paae ga dair tak. . . Me sahilon ki rait pe likhon ga us ka naam,
Wo paani pe naqsh banae ga dair tak. . .
Kis haal me hon us k baad me, Sun kar use yaqeen na aaega dair tak......................
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
=======================================
Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath
Kuch bikhre sapne aur ankho me nami hai.

Ek chota sa aasman aur umido ki jami hai.

Yu to bahut kuch hai zindgi me

Sirf jinhe chahte hai unki kami hai.
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.