~~Daaman~~

~~Daaman~~
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
  

Jun, 05 2010     359 chars (3 sms)     2699 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ye mausam b kitna pyara hai,

karti ye hawae kuch ishara hai.

Zara samjho in k jazbato ko,

Ye keh rahi hai kisi Dost ne

DIL SE apko pukara hai.
Kitna Chahte Hyn Tumhain Hum Kabhi gaur Tou Ker

Itne Tou Kabhi Hum Apne Talbgaar Na Thay ...
Dost ban kar bhi nahin saath nibhaaney wala
Wohi andaz hai zaalim ka zamaaney wala

Ab usey log samajhtey hain giraftar mera
Sakht naadim hai mujhey daam main laaney wala

Kya Khabar thi jo meri jaan main ghula hai itna
Hai wohi mujh ko sardar bhi laaney wala


Tere hotey huey aa jati thi saari dynya
Aaj tanha hu to koi nahin aaney wala

Kya kahen kitney marasim they hamarey us se
Wo jo ik shakhs hai munh phaer kar jaaney wala
Bari MushkAl sE sulaya hAy khud ko mAin ne,



Apni Ankhon ko TerE khawab ka Lalach dAy kr.
Kuch hadsat-e-zeest hai kuch wardat-e-ghum



Bus itna sa falsafa hai mere shair-o-ghazal ka
Jinn ko dunya ki nigahoon sey chupaye rakha

jinn ko ik umar kalaijey sey lagaye rakha

Dil mai jinn ko aik eimaan banaye rakha

Tu ney dunay ki nigahoon sey jo bach ker likhey

Saal ha saal mere naam barabar likhey

Kabhi din ko kabhi raat ko uth ker likhey

Unn khusboo mai basey khat ko jalata kaisey

Pyarr mai doobey hoye khat mai jalata kaisey

Tere hathon sey likhey khat mai jalata kaisey

Tere khat ajj mai ghum mai baaha aya hon

Aag pani mei mai ajj laga aya hon
Yahan Hona Nahi Kaafi
Yahan Ban''na Bhi Parta Hy

Chalo Ek Duusrey K Kuch Na
Kuch Ban Jaye''n Hum Dono''n
bohat kud pe jabbar kr k
Mohabat ka safar kr k
mita k her khusi apni
usse pane ki chahat mai
bus itna jan paya hun
Mohabat mar dyti hy ........;->
SHKAYAT HAI YEH MERI KISMAT SE MUJHKO ..

MILAYA HI KYUN JAB BICHARNA THA TUJHKO ...

JOH ISMEH NAH SAMAJH SAKAY AZAKE KOI TUJH KO...

IS PATHAR KI DUNIYAAN SE NAFRAT HAI MUJHKO ...
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye,

khushi thodi si mili to milaa ke pi gaye,

yun to na thi janam se pine ki adat,

Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pigaye
Tum is sheher se jaane lago to

meri aankhain lete jaana

safar mai koi saath rahe to

rasta jaldi kat jaata hai
Qasid paygham-e-shoq ko itna na kar taweel
Bas itna keh dena k aankhein taras gai hein.