Uski Yaadon Main

Uski Yaadon Main
Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main
Kahi''n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga
Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo''n Main
Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga
  

Jun, 07 2010     163 chars (2 sms)     2555 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere Etmaad Ki Is Se Barh Kar Aur Kia Daleel Hogi.



Jo Tumhari La-Taluki Ko Masroofait Sumjh Betha...
mujhko too hosh nahi tumko khabar ho saayad






Loog kahte hain ke tumne mujhe barbaad kiya
khamosh lahjay main doost kabhi bola nahi kartay..
Darday Gham ko haar kisi kay samnay khola nahi kartay

Mohabbat too mohabbat hai barii anmool hoti hai
Mohabbat ko kabhi tarazoo main tola nahi kartay

Uss kay khamosh rahanay per koi ilzam nahi daay naa
Samandar too Samandar hai kabhi roya nahi kartay
Ye dekha hai humne aajma kar,
dhokha dete hai log aksar karib aakar,
kahti hai duniya par dil nahi manta,
ki chhor jaoge tum bhi ek din apna banakar
chandni rat ky seemi se haseen ancha l main
jabkh hasti ka her ik naqsh sanwer jata hai
ik nakam musafir tery milny keliy
sir jkhukaey tery koochy se guzer jata hai
khud ko chuntay huway din sara nikal jata hai
phir hawa shaam ki chalti hai, bikKhar jata hoon
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
koi mera be toh ho saath nibhaney ke liye
mujhe mangey khuda se apna bananey ke liye

mere ansoo meri palkoon se churaney ke liye
bas wohi ho mujhe siney se laganey ke liye

yoon toh hein chahney waley bahot se duniya mein
nhin hai koi magar saath nibhaney ke liye

din bhar khwab jo tootey the sametey hum ne
phir so gaye naye khwab sajaney ke liye

meri sansoon ki rawani toh faqat dokha hai
haan mein zinda hoon magar sirf dikhaney ke liye!!
Mere Ishq Ne Seekh Li
Hai Ab Waqt Ki Taqseem
"Faiz"

Wo Mujhy Bohat Kam
Yaad Aata Hy Sirf Itna
k Har Saans k Baad ..
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,

Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,

Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey,
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,

Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,

Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai... )