khamosh lahjay mai

khamosh lahjay mai
khamosh lahjay main doost kabhi bola nahi kartay..
Darday Gham ko haar kisi kay samnay khola nahi kartay

Mohabbat too mohabbat hai barii anmool hoti hai
Mohabbat ko kabhi tarazoo main tola nahi kartay

Uss kay khamosh rahanay per koi ilzam nahi daay naa
Samandar too Samandar hai kabhi roya nahi kartay
  

Jun, 02 2010     310 chars (2 sms)     4451 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apka Hath Agar Kaanto Se Chub Jaye,

Wahi Kaante Mere Dil Ko Chub Jayenge,

Dard Apke Hatho Me Hoga

Par Log Us Dard Ko Meri Aankho Me Payenge
Hamari m0habbat k saare
ehsaas le l0


Dil se pyar k saare jazbaat
le l0


Nahi ch0rain ge tufan mein
bhi Akela aap k0


Is "M0habbaT" k saare
emtehaan le l0....
na kar inkaar a zalim mere pass ane se ..
khuda bhi roth jata hay kisi ka dil dukhane se
Tu Kisi Aur k Liye Hoga
Samandar-e-Ishq

hum Tou Roz Tere Sahil
Se Pyase Guzar Jate Hyn !!
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Ek Janaza Aur Ek Barat Takra Gaye
Unko Dekhne Wale Bhi Chakra Gaye
Uppar Se Awaz Ayi
Ye Kesi Vidai Hai
Mehboob Ki Doli Dekhne
Yaar Ki Mayyat Ayi Hai
ye mujhy chain kayon nahi ata.

aik hi shakhs tha jahan main kya?
dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya

haal e dil hum bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bari mushkil se guzara tha ye din aey dost!
phir tera waada e shab yaad aya

beth kar saaya e gul main NASIR!
hum bohot rooye wo jab yaad aya
Woh mera tha yeh batana ajeeb lagta hai
Ab us say ankh milana ajeeb lagta hai
Jo zindagi mein hamara kabhi bhi ho na saka
Ab uska khuwab mein ana ajeeb lagta hai
Baray khaloos say dawat tu us nay bheji hai
Par uski bazm mein jana ajeeb lagta hai
Tha jis ka hath kabhi hamaray hathon mein
Ab us say hath milana ajeeb lagta hai
kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyaar hoga,
guzar gai raat unki yaad mein,
yeah sochkar ki suhab toh unko bhi hamara intzaar hoga.
Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin
Kaise keh doon dil mein ab koi nahin
Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin
Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin
Zara thehro.....!
Chalay jana.....!

Mujhy kuch tum se kehna hai,

Boht waqt nahi laina,

Mukhtasir si bat krni hai,

Na dukh apny suna-ny hain,

Na koi faryad krni hai,

Na ye maloom krna hai k halaat kaisy hain,

Tumhary humsafar tumhary sath kaisy hain,

Na ye maloom krna hai k din raat kaisy hain,

Mujhy bs itna he kehna hai, K

Tumhari LIGHT a gai kya? ;->