Tere labon se hai rangat phoolon

Tere labon se hai rangat phoolon
Tere labon se hai rangat phoolon mein, Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein, Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko, Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,
  

Jun, 02 2010     167 chars (2 sms)     3862 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ankhein band kar k mein apni dhoond loon gha tujhe,

aur tassawur mein hee kabhi choom loon gha tujhe,

bas ik arz hai k mujhe bas pna bana le,

phir chup rahoon gha na kuch kahoon gha tujhe
Chahron mein Ek chahra khojne ki aadat ha
Mujh ko Bheer mein beth kar sochnay ki aadat ha
Gila ho kabhi to keya un se sitam giri ka ke jinhen
Phool Shakhon se nochnay ki aadat ha.
Ye Be,wafa ZindaGi Bhi Tumhary Naam krty hAin''faraz''

suna hy Khoob Banti hy Bewafa Se Bewafa Ki
Mosam Ko Mosam Ki Baharon ne Lutta,

Kashti Ko Sahil K Kinaroo ne Lutta ,

Woh Tu ek Hi Qasam Se Dar Gaye ,

Humain tu Unki Qasam De kar Hazaroon Ne Lutta

Be-Khuloos Logo''n Se
Ijtinab Krna Hy

Mujhy Apne Rishto''n Ka
Ehtisab Krna Hy

Usay Bhool Jana Hy Ya
Usay Yaad Rkhna Hy

Dukh Tou Ek Jesa Hy Bs
Intikhab Krna Hy
Dua ka toota hua harf sard aah mein hai
Teri judayi ka manzar abhi nigah mein hai

Tere badalne ke bawajood tujhko chaha hai
Yeh aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai

Azaab dega toh phir mujhko khwab bhi dega
Mein mutmaeen hoon mera dil teri panah mein hai

Jise bahar ke mehman khali chodh gaye
Wo ek makan abhi tak makiin ki chah mein hai

Mein bach bhi jaoon toh tanhayi maar daalegi
Mera qabile ka har fard, Qatl gaah mein hai....
hoo chuki hy raat ab soo bhe jaiye jo hy dil k kareeb un k khayaloon main kho jaiye kr raha hoo ga koi intezaar aap ka khuaboon main he sahe un sy mil to aaiye ... good night
Pakad Ke Jugnoo Roshni Ke Liye,

Dill Tarastaa Hai Ab Zindagee Ke Liye..
Uss naie kaha aao,
uss naie kaha tehro,
muskraoo kaha uss naie,
mar jao kaha uss naie.
Main aaya,
main tehar gaya,
muskraya,

aur mar bhi gaya!!
Nahi Hy Humara Haal
Kuch Tumhare Haal Se Alag

Bas Farq Hai Itna

K

Tum Yaad Krte Ho

Aur

Hum Bhool Nahi Paate
kai baar sochte hai aapse kuch jajbaat kahe
aapse baya kare is dil ki tanhaiya
kabhi apni takdeed ki dushwariyo ke haalat kahe

par jab kabhi saamna hua nigaho se teri
hosh tak na raha apne wajood ka
gamo ki kya aukaat kahe...
bas tera hi najaara karti rahi ye nigahe,
aur khamosh se sab khyaalat rahe
kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe khud ko
terey pass bhool jaon.../