bicher ker juda tou nah

bicher ker juda tou nah
bicher ker juda tou nahi ho gaye hum
kahin be-wafa tou nahi ho gaye hum

jo milna bhi chahain tou ab mil na payein
youn be-aitnaa tou nahi ho gaye hum

magar phir bhi khilqat hamain poojti hai
agarcha khuda tou nahi ho gaye hum

kharay hain azal se sag-e-reh ki surat
kahin rehnuma tou nahi ho gaye hum

teri yaad aati hai fursat mein aksar
tere mubtila tou nahi ho gaye hum
  

Jun, 02 2010     388 chars (3 sms)     2698 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
Chaahat dil mein hai pyaar aankhoon mein ,
Mohabbat hum mein hai aur tum hamare dhadkan mein.
hum jis ko takte hain her waqat dil ki nazar se amir.

wo chand tu kisi or asmaan ka hai.
Kya pata tha vo bhi itna pyar karke dil tod jaayega
itna pyar dil mein bhar ke muh mod jaayega
ae bewafa tu jis se bhi dil lagaayega dekhna
vo bhi aise hi tera dil tod jaayega
NajAney kyUn AatEy hAin zindAgi mAin aisAy lOg,,,

Jinki yaAdein bAn jAti hAin zindAgi kA rOug. . .;-<
Aaj us ne Meri Mohabbat main Kisi ko Shareek kia to Ehsas hoa
...........Ya Rab.............
K tu Shirk krnay walon ko Muaaf ku nahi krta
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!
har lafz se us k main ne chahat ki hai
us k har vaade ki izzat ki hai
har khwab ko us k samjha hai apna
us k har ehsas ki ibadat ki hai
wo hanste hanste jo ansoo de deta hai
main ne to un ansuon se b mohabbat ki hai!!
~ Tun Bin ~
Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
Wo Kia Gaya k
Raunaq-e-Dar-o-Deewar
Gaye Mohsin

Ek Shaks Le Gaya
Meri Dunya Samait Ker
Tumhain Ab Bhool Hee Jayen Tou Acha Hai
Yeh Faslay Aur B Barh Jayen Tou Acha Hai


Tumhari Chahatain Hum Ko Nahi Hasil
Tu Ab Ghair Hee Ban Jaye Tou Acha Hai


Humahre To Umer Guzri Hai Teri Chahat Main
Tu Is Aag Main Na Jalaye To Acha Hai



Barso''n Se Thi Dua K To Meray Sath Ho
Kehta Hoon K Ab Samna Na Ho Tera Tou Acha Hai



Rehta Tha Teri Mohabbat Ka Saya Humaray Sath
Ab Tou Apni Perchai B Na Ho Tou Acha Hai



Raiza Raiza Ho Chukki Hai Rooh Meri
K Badan Say Ab Nikal He Jaye Tou Acha Hai ..!!