Bara Gumaan Tha Mausam

Bara Gumaan Tha Mausam
Bara Gumaan Tha Mausam Shanaas Hony Ka

Wohi Bahana Bana Hy Udaas Hony Ka

Fiza Mehakne Lagi, Roshni Chalakne Lagi

Tou Ye Nishaan Hy Tere Aas Pass Hony K
  

Jun, 02 2010     160 chars (1 sms)     2521 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bari Mushkil Me Hu mai kaise izhar kru

Tu to khusbhu Hai tujhe kaise Giraftar kru
Pehle To Zra C Chot LaGany Sy Roo Parte Thay

Ab To Toot Jaye Dil Bhi To Hans k Seh Lete hAin
Ajeeb hy ishq ka meya''ar aadmi k liye

K apne aap se bezaar hy kisi k liye

Tamam umr diye zakhm jis ne

Tarap raha hy Mohabbat mein dil Usi k liye...
Kash K Ab K Bars Wo Yeh Keh Day . Aao K Tanha Hoon Teri Tarha, Tery Liye.
Milain Aik Bar To Sada Yaad Rahain
Zamany Main Aisy Bhe Kuch Log Hain Abhi
Dunya Bhi Tere Saath Hy Dil Bhi Teri Taraf

Ab Mera Tera Faisla Tehra Khuda K Haath ...
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
vo log bohut Khush-qismat thay
jo ishq ko kaam samjhtay thay
yaa kaam say aashiqii kartay thay
ham jiitay ji masruuf rahay
kuch ishq kiya kuch kaam kiya

kaam ishq ke aa''ray aataa raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aaKhir tang aakar hum nay
donon ko adhuuraa chhorr diya
MUHABAT KHOUF HOTI HAI

Kbhi Nadan Krti He
Kbhi Heran Krti He

MUJHE MALOM HAI SHAYD

Boht Nuksan Krti He
Ye Ghar Weeran Karti Hai

Jaha Hon Ronaqin Zinda
Wo Dil Sunsan Krti He

Mgr Ab Sun Mere Humdam
Mujhe Krni Muhabt He

Muhabt Wo Haqeqt He
Jo Dil Abaad Karti He

Sbhi Ko Shad Krti He
Marron Ko Yad Krti He

Muhabt Khof Kb Se He
Muhabt Rog Kb Se He

Ye Marhm He Maseha Ka
Ye Depak He Paretm Ka

Chalo Acha Hua Jana

Gaya Mai Jan Ye Jana
Suno Phr Ghor Sy Jana

Mjy Tm Sy Mohabbt He
Mohabt Tm Sy Hi Krni He
Khali hathun ko kabhi ghor sy dykha hai faraz,

Kis tarah log lakeerun sy nikal jaty hain...
Itni nafrat na kr k waja-e-m0habat bn jaye

habss barh jaye To Aksar Barsaat huwa karti hy
Sochta hoon taire bare main apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha apna zawal likhoon