Yeh Zindagi barri

Yeh Zindagi barri
Yeh Zindagi barri ajeeb si..
Kabhi gulzaar si..
Kabhi bay-zaar si..
Kabhi khushi hamaaray saath saath..
Kabhi ghhamo''n ki barsaat si..
Kabhi Toofano''n may bhi hain raastay..
Kabhi manzilo''n ka pata naheen..
Kabhi do qadam pay zindagi..
Kabhi sadiyo''n tak intezaar si..
Kabhi her pal imtehaan hai..
Kabhi bin maangay Inaam si..
Kabhi kuch naheen..
Kabhi sab kuch si..
Yeh Zindagi barri ajeeb si..!!
  

Jun, 07 2010     415 chars (3 sms)     3043 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jo Hum Mehsoos Kerte Hyn

Agar Tum Tak Pohanch Jaye

Tou bas Itna Samajh Lena

Ye Un Jazbo''n Ki Khusbuu Hy

Jinhai''n Hum Keh Nahi Sakte

Magar Tum Jo Ijazat Do

Tou Chand Lafzo''n Main Keh Doon

K Tu Bin Jee Nahi Sakte ...

K Tu Bin Jee Nahi Sakte ...
Mai''n kahee''n gum hoo''n...


Tum kahee''n gum ho...


Phir bhi aisa lagta hay...


Her jagah mai''n hoo''n...


Her jagah tum ho...!
Kash k hum sambhal jate aaghaz-e-ishq se pahle.

dil tu bacha hai wo kub kisi ki sunta hai...
tum say chahat to na thee
tum bin rahat to na thee
aik pal ki b muskurahat b na thee
jab tum hamaray pass na thee
Wohi Takrar Lafzon ki ,

Wohi andeshay fursat ke,

Wohi har baat pe ranjish,

Wohi har baat pe larna,

Wohi kuch bolti aankhen,

Wohi Chup chap sa lehja,

Wohi bechain si hulchal,

Wohi khamosh ho jana,

Sabhi asrar kehtay hein,

Tumhen Mujh se Muhabbat ha,

Tumhen Mujh se Muhabbat ha,
qadmoon main thi zameen safr fasloon main tha.

main door tha zaror magar raston main tha..
Dard mein koi mausam pyara nahi hota,

Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota,

Dekhe zara koi bebasi humari,

Hum uske ho jate hain jo humara nhi hota.
Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
Milta Tha Mujh S Wo Kabhi Pal Pal K Farq Se
Phir Rafta Rafta Faq Ye Saalo’n Main Aa Gaya
Phir Yun Hua Aankh Se Aansoo Nikal Paray
Chehra Kabhi Jo Us Ka Khyalo’n Main Aa Gaya
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,



Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!
mere marne marne pe sab khush hoon ge..

AMIR

Bas ek tanhai roya gi ke mera hamsafar chal basa..
sambhal sakty nahi hum ye gham ki jageerain..

WASI

Utar lejiye sar se ye taaj kanton ka...