Apana Gam bhul gaye teri jafa bhul gaye,

Apana Gam bhul gaye teri jafa bhul gaye,
Apana Gam bhul gaye teri jafa bhul gaye,
Ham tou har baat muhabbat k siva bhul gaye

Ham akele hi nahi pyar k Diivane Sanam,
Aap bhi nazaren jhukane ki Ada bhul gaye

Ab tou socha he k daaman hi tera thamenge,
Haath jab ham ne uthaye tou Dua bhul gaye

Shukr samajho ya isy apni shikayat samajho,
Tum ne woh dard diya hai k Davaa bhul gaye
  

May, 29 2010     350 chars (3 sms)     4562 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pyar ho ya dosti ho
Inme wafadaree ki koi baat nahin hoti
Inme to bus ehesas hoten hey
Jinme bewafaee ke liye koi jagah nahin hoti…
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Kuch na kuch to zaroor hona hai,
Saamna aaj unse hona hai,

Todo, phenko,rakho, karo kuch bhi,
Dil humara hai kya khilona hai,

Zindagi aur maut ka matlab,
Tumko paana hai tumko khona hai,

Itna darna bhi kya hai duniya se,
Jo bhi hona hai woh to hona hai,

Uth ke mehfil se mat chale jaana,
Tumse roshan yeh kona kona hai.
Apni Kharabiyo’n Ko Pas-E-Pusht Daal Kr…

Har Shakhs Keh Raha Hy Zamana Khrab Hy…
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa.
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
Udas nazron mai bhi khuwab milain gaiy

kahin kantay to kahin gulaab milain gaiy

Meray dil ki kitab ko apni nazar se perh k dekho

kahin aap ki yaad to kahin aap milain gaiy.....;->
Mgroor jo kehti hai kehti rhay duniya
hum mur k kisi shaks ko dhekha nahi krtay
Un ke Andaz-e-Karam un pe wo aana dil ka,
Haye wo waqat wo baten wo Zamana dil ka,
Na suna uss ne tawajoh se Fasana dil ka,
Umer Guzri par Daed na jana dil ka,
Dil Lagi dil ki Lagi ban ke Mita deti ha,
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka,
Wo b apnay na huye dil b geya hathon se,
Aisay aane se to behtar ha na aana dil ka,
Un ki Mehfil mein “PREET” un ke tabusam ki Qasam,
Hum dekhtay reh gae hath se jana dil ka,
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay main magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
jb ksi bhule hue dukh pe nazar per jae
ashk ho jate hn aankhon se rawan sham ke bd
Na Khwabon Main Dkha,

Na Nazaron Main Dkha,

Hzaron Main Hum Ne Ek Tum Hi Ko Dkha,

Ghum Dene Wale To Hr Pal Ha Yhan,

Hr Pal Khushi Dene Walon Main,

Ek Aap Ko Hi Dkha
mare paas chand lfz thy wo bhi chan gaye hai mujh se..

wo aik tera naam jo har waqat zuban per rahta tha..