chalo aj tum ko aik talak haqeeqat b bata daytay hain
jis ko aksar yah log dilo ma chuhpa laytay hain
tunay aksar irtay huay pato ko dakha ho ga
apni her sans wo tahni per ganwa daytay hain
kitna khuub sajatay hain baharo ma shajar ko
or khari dhoop ma apna app jala daytay hain
kitnay bayraham shajar hain nayee pato ki khusi ma
puranay patoo ko khiza ma geera daytay hain
hum nay b dakain hain iss jahan ma kahyee
jin ko un paton ki terha log dagha daytay hain
Tumne Dekha Hai Suraj Ka Zameen Se Milna
Uss Se Milne Ke Liye Khud Ko Da-boo Deta Hai
Usko Kia Malom Uski Judai Mein Falak
Sari Duniya Ko Andhare Mein Samo Deta Hai
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
Teri baahon mein meri zindagi guzar jaye,
ankhon mein saanson mein dhadkano mein tu sama jaye,
ho na tu kabhi mujhse juda ek pal ke liye bhi,
rahe tu itne kareeb mere zindagi bhar ki tu mere rom rom mein bas jaye
Tod de har ik umeed ki doori.
UmeeDon Mai kia rAkha hay.
ishQ Mohabat batain hain.
in bataon main kia rAkha hay.
kismat main jo likha hAy wo Akhir ho kr rAhay ga.
chAnd lakarain ulgi si hAin warnA hathoN main kya rAkha hAY.