majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka
mujh se vaqif to mere jism ka saya bhi na tha
kaise ho jata tumhara main Khud apna bhi na tha,
jitana mayus hai vo shaKhs bichar kar mujh se
itnii shiddat se to main ne use chaaha bhi na tha,
jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne
aisi nazaron se to main ne use dekhaa bhi na tha
merii aavaaz kaa Gham shahar ne jana kaise
main to us bhiid main Khamosh tha bola bhi na tha......!!!!
Wisaal O Hijar Me
Chiragon Se Saji Shaamo Me
Ya Be Noor Raato Me
Sehar Ho Roonuma Jesay Kahin Baaton Hi Baton Me
Koi Lipta Ho Jis Trah
Sandl Ki Khushbu Me
Kahin Pr Titliyon K Rung Tasweerain Banatay Hon
Kahin Pr Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshni Khud Ko Chupati Ho
kahin Kesa Hi Manzar Ho
Kahin Kesa Hi Mosam Ho
Tere Saray Hawalo Ko
Teri Sari Misalon Ko
Aaj Itne barsoN ke baad
Jaise kaii sadioN ke baad
Us ne kaha suno
Ab se tum azaad ho
Qafas khulte hi
Par tolte panchi
Ma uRooN kis tarah magar
Us ne Noch dale the mere par
Dabi huii hasrateiN
Na''tamam khwahisheiN
Poori karooN kis tarah magar
Na ab waqt hai na nazar
Dil ke goshoN ma nihaaN
KhwaaboN ki reshmi doriaN
Sapna bunooN kis tarah magar
Sulajhti nahi doriaN ulajh kar
Rasta chalna bhool kar
Ab jaooN ma kis dagar
Ulti ho gaye sab tadbeereiN
Phir pahen li ab zanjeereiN
Teri qurbat mili tera sahara na mila,
karib pahuch kar sahil ka kinara na mila,
dekhte rahe hum apni hatheli,
magar mujhe apni kismat ka sitara na mila.
mujhay forsat he forsat hay ..
sawairay jald othna hay
na shab ko dair say sona
kahain baher nahe jana
kissi say bhe nahe milna
na koi fiker laahaq hay
na koi YAAD baqi hay